Salam Everyone … Here is on of best of the best ![]()
Ussay apney farda ki fikar thii woh jo mera waqaf-e-hal thaa
Woh jo us ki suba-e-urooj thi wohi mera waqat-e-zawal thaa
Kahan jao gy mujay choor k mein yeh pooch pooch k thak gaya
woh jawab muj ko na de saka wo tu khud sarapa-e-swaal thaa
mera baat kaisay wo maanta mera dard kiasay wo jantah
wo tu khud fana k safar mein thaa ussay rookna bi mohaal thaa
woh jo uss k samnay aa gaya wohi rooshni mein neeha gaya
ajab uss ka haibat-e-isaq thaa ajab uss ka husn-e-jamal thaa
Dam-e-wapsi araay kya howa na woh rooshni na wo taazghee
woh sitara kaisay bikhar gaya woh jo apni misaal aap thaa
woh mila tu Sadyun k baad bi meray lab pay koi gila na thaa
ussay meri chup ne rulaa diya jisay guftago mein kamal thaa
Meray sath lag k woh ro diya mujay sirf itna he keh saka
Jisay jaantah thaa mein zinghee woh tu mera wehm-o-khyial thaa