Urdu zuban ki ahmeyat

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Hum aap jaisa bna ni chahty is liye aap sy hargiz takrany ki ghalti ni karen gy:hoonh:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Ji to hamari lalkar sy to aik darpook hazir ho gaya ab ap ki bari dekhen to sahe aap ki lalkar jati kahan tak hy:)

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

lo ji, lalkaar ke peechhe hat gayiiN…vaise, mazaaqan hii arz kiyaa thaa…Urdu bolne se hii aatii hai…is liye Urdu bolne kii yeh laRii bahtareen zariiya ban saktii hai. :slight_smile: aaiye Urdu bolte haiN…
**
Urdu hai jiskaa naam, hamiiN jaante haiN, “DaaGh!”
saare jahaaN meN dhoom hamaarii zabaaN kii hai! **:slight_smile:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Wah wah wah baja farmaya aap ny urdu bolny sy he ati hy is liye hum koshisk kr rahy hain is lari me moti perony ki.

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

bahot Khoob! yehii vajah hai k isko maiN laRii kahtaa huN aur dhaagaa nahiiN kahtaa kiuN k laRii [thread] meN motiyaaN [posts] huaa kartii haiN. :slight_smile: kia Khayaal. ek gaanaa thaa:
**
motiyoN kii laRii huN maiN
phulwaa kii chhaRii huN maiN!!!** :cb:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Yahan py to bohat chupy rustum hain janab aap sy pehly jo sahab thy me abhe tak un ki salees urdu k hisar sy bahir ni aye the k aap apni urdu zuban ka zakheera ly kar aa tapky:)

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

aaaaaaaaaawwwwwwww lol…are nahiiN jii, bahot se aise aHbaab haiN jo Urdu daaN na sahii to Urdu fehm zaroor haiN … Urdu hamaarii zabaan hai to ham ko isse moHabbat honii laazmii hai…Urdu bolne aur paRhne ke liye ham sab ko an-thak koshish karnii chaahiye. ummeed hai k iA aisaa hii hogaa.

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Urdu zuban sy muhabbat krny waly bhe to hony chahye, ye baat dimagh k kisy goshy me bethti ni k log urdu bolny sy ijtinab koi barataty hain

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

hamein nahi lagta keh koi yahan aayega hamare pukarne se :@:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Lo ji aap to mukabla kiye bghair he nateeja akhaz kar bethy.:5:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

haN to baat kahaN tak pahoNchii…is laRii ke jaal meN koii nayaa murGhaa phaNsaa yaa koii naii murGhee phaNsii? :cb:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Urdu salees bolnii hai?!!?

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

aap saqeel bhii bol saktii haiN! :smiley:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Kya mujhey aapki shagerdagi ka sherf mil sakta hai?

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

haN to aazmaa kar bhii dekh leN…ek jumla salees Urdu meN aur usii ko saqeel Urdu meN likheN aur phir usii jumle ko aam fehm zabaan meN likheN! yeh aapkii mashq hai aaj ke liye. :slight_smile:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Aha phans gay ji aik or aap ki duaun sy:)

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

mubaarak baashad! :slight_smile: vaise, is Khushii meN laDDoo to baTvaaiye! :slight_smile:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Meray haath dukhtey hain urdu likhtey huey :stuck_out_tongue:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

to audio post kar deN…magar, Dar hai k kahiiN zabaan bhii na dukhne lage! :cb:

Re: Urdu zuban ki ahmeyat

Waqaii iss urdu zuban kiay saqeel-paney se larzaa taari ho jaata hai :smiley: