Yahan sirf urdu me guftugu karen, jo angrezi zuban ka lafz istimal kary ga wo nikal diya jaye ga.Dekhen to sahe kitny log angreezi lafz istimal kiye bghair guftugu kr sakty hain.
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
urdu kis sataH kii qaabil-e-qubool hogii? kia ham chai glass meN pee sakte haiN?
ab yeh na kahiyegaa k glass angrezii kaa lafz hai! ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Yeh dhaaga mein ne yahan pe rakh diya hai. ![]()
(I’ve moved this thread here).
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
dhaagaa yaa laRii? ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Mein yahan per sirf Hakuna se ek or pasand lene ayi hun.
(I’ve come here just to get another like from Hakuna).
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
hmmmm to Qibla Marina khan sahiba… aisa kya zoq-e-saleem apke darpay hogaya ke urdu bolne ka kaha sabko ![]()
khair…
aap khud bhi to boliyeey urdu… humko daieee de ker khud mufrur hogai hein aap aalijaa ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
**OR **ek angrezii kaa lafz hai
**aur **urdu kaa hai]
![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Iss ka matlab mujhe is dhaage se thudda maar dia gaya hai?
(Does this mean I’ve been kicked out of this thread?)
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
wow! itnii saqeel Urdu? ![]()
Qibla kii taaneef Qibli kiuNH nahiiN? ![]()
aur isii taraH, aali_janaab kii jagah aali-janaabah kiuN nahiiN? ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
hahahahahahahahahahahahaha ![]()
aray aapne wese keh diya hota to hum like ker dete is jaaye uzr ki kya zarurat thi ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
ThuDDaa Punjabi lafz hai
kohnii maariye ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
hahahahahahahahaha ![]()
agar aisa ho jaye to yaqeenan baadshah ki biwi baadshi aur shohar ki biwi shohri ![]()
and aqalmand se aqalmandi
lekin aik baat to btayeey… charsi ka moannas kya hoga ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Aj kal ye sub ko ho kya gya hai..
jahan dekho dhaagy hi khuli ja rahy hain
behnon aur bhaiyo aur dosto aur sahelio
pehly kya kum hain
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Lekin kohnii ka matlab hai elbow… what’s the word for kick in urdu?
Yes, I’m talking in English because I’ve already been disqualified! ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
laat maarnaa…magar ThuDDa also means elbowing…right?
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Nope, in my neck of the woods, thudda means kick.
Laat marna sounds good too… erm I’m sure it doesn’t feel good though.
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Kick ka urdu mein maieni hai… laat maarna/thokar marna/dolatti chalana.. ya sirf laat/thokar ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
intihai mazrat k sath me kal ghaib ho gaye the kunk me neend ki wadi me chali gaye the:) aj hazir ho gaye hun.
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
Aaaap say urdu seekhni the is liye kaha taa k aur log bhe mustafeed hun ![]()
Re: Urdu zuban ki ahmeyat
AAp ny bohat acha kia jo dhaga yana pe rakh dia laikn bakhuda hum sab ko tarjuma krna ata hy aap ye zehmat na karen;)