Urdu is a complex language

Re: Urdu is a complex language

vo zamaane lad gaye. ab to laRkiyaaN bhii vaise kuchh kam nahiiN…laRkiyaaN laRkoN se paRhaaii ke silsile se bahot madad maangti haiN aur laRke log isii aas meN madad kar dete haiN k shaayad kanniya paT jaaye. lol

paRhaaii meN madad se muraad ‘guess paper’, books, notes, pichhle 5 saal ke exam papers vaGhaira kii faraahmii hai…laRkii ne guess paper maang liyaa to laRkaa bhookaa pyaasaa saaraa din gali gali, mohalle mohalle chaan maartaa hai uskii Husool ke liye. poor guys! haha