Un
jheel si gehri aankhon mein. . .
Unn jheel si gehri aankhon mein
ik shaam kaheen abad to ho
uss jheel kinaaray pal do pal
ik
khwaab ka neela phool khilay…
wo phool bahaa dein lehron
mein
ik roz kabhi hum shaam dhalay…
uss phool kay
behtay rangoun mein
jis waqt larazta chaand chalay
uss
waqt kaheen unn aankon mein uss bisray pal ki yaad to ho
unn
jheel si gehri aankhon mein ik shaam kaheen abad to ho
Phir
chaahay umer samundar ki
har mouj pareshaan ho jaaye…
phir
chaahay aankh dareechay say
har khwaab guraizaan ho jaaye…
phir
chaahay phool kay chehray ka
har dard numaayaan ho jaaye…
uss
jheel kinaaray pal do pal wo roop nagar ejaad to ho
din raat kay
uss aayinay mein wo aks kabhi azad to ho
unn jheel si gehri