--- Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN ---

Re: --- Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN ---

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN
Tanha hujoom kee ronaqouN maiN
Koray kaaghaz par
likhay lafzouN kee
talkh yaadouN kay pur sukoon
mazmoon kee gehraaiiyouN maiN:

Ik rishtaa joR beTha thaa maiN
kuch umeedaiN baandh beThaa thaa maiN

Ik ghalati kaa azaalah na kar sakaa
zindagi haar kar tajurbaa lay beThaa hooN maiN

unn maasoom lafzouN kee chaalaakiouN ko
phool say naazuk
ehsaas kay khaar-e-baareek say haasil
zakhmouN kee shiddat ko
naa jaanay kiouN
mohabbat samajh beThaa thaa maiN

maiN hee pagal thaa
jo woh sub kartaa gayaa
ik shakhs kee khaatir
kitnouN say moonh moRtaa gayaa

sirf iss liye:

kay hur dum ab bhee sochtaa hooN maiN
jo maiN woh sub naa kartaa
tau bay-wafaa sub ko lagtaa
zindagi kay imtehaan-e-laa haasil maiN
apni nazrouN maiN khud gharz bun gayaa hooN maiN

aur ab yeh sochtaa hooN maiN:

woh baa-wafa kitnay jafaakaar haiN
meri haalat-e-naadeed dekh sakay naa jo
jinhaiN gumaaaN naa huvaa
maiN jin kay liye jeewan kee sooli par chaRhaa
Dil meraa pathar ho gayaa hai shayad
khud naazuk sheeshay kee tarah ho gayaa hooN maiN

sub kuch seh letaa hooN abb
haNs kar aankhaiN pher laitaa hooN maiN

Zindagi kiouN unn kee khaatir
maut say hamkinaar karooN
Kay jo seenaa cheeer daiN
aur dil ko apnay lahoo luhaan karooN

apnay dil say ab muhabbat kar beThaa hooN maiN
haaN shaayad ghud gharz bunn beThaa hooN maiN

--- Anwaar
[/QUOTE]

parh kar yoon laga kay jaisay ap nay meri kahani likhdi ya dil ki baat kehdii :(

Lajawab koshish AQ zabardast!

zabardast!

:flower1: :flower1: :flower1:

Re: — Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN —

ZABERDEST :k: :k:

thx for sharing AQ :hug:

Agay agay daikhiyai hota hay kia abhi to bohet kuch seekhena hay :slight_smile:

beautiful:k:

very nice :flower1:anwaar bhai

wowww…great piece of poetry :k:
keep it up :k:

bhut khoob Anwarr :k:

waqiii bhut achiii nazm ha

**unn maasoom lafzouN kee chaalaakiouN ko
phool say naazuk
ehsaas kay khaar-e-baareek say haasil
zakhmouN kee shiddat ko
naa jaanay kiouN
mohabbat samajh beThaa thaa maiN

**

This part was especially lovely and touching.Bohut zabardast poem hai.

Wow!

:flower1:

loved it!
its really good anwaar. :--)

Bajjo: I had tried to write that couplet as the “Sannaam” of the whole poem and glad to see that it is somehow what i wanted it to be:) Thankoooooooooooooo

Sandooo: :wave:

Capricorn: If u really read it i am not calling this whole life as vain but a chapter of the life, which mistakenly seems to be the only chapter in life at a particular feelings of one’s heart.. hay naa baywaqoofi :-p?

batameez, cuteepie, HB83, Dania, Louie, ayman, Destinee, ~Sehar~, KhamoshNigahein, DiYa, Aabi, Rani Pakistani, nikii. little human, and hanie*: Than you guys for such a wonderful remarks and for liking it :flower1:

WiseGuy: lol@decicion :smiley:

Nikless: paajee, tussi tay tishon karaa kay aanday ee naiee O ab:D

rabika: kiyaa yaad aa gayaa hehe ?

monahsa: zahay naseeb jhuk kar adab kay saath kornish bajaa laanay waalaa icon

Maheen: tumhaari mangni ho gaie kiyaa, jo laddoo maang rahi ho :wink: ?

Koyal: aap aisee shikayat tau naa kiyaa karaiN:( u can always PM me to find out when u can call me :-p

Aceones!: Truly said my brother!

Azad: aap please dobarah naa paRhiye gaa :stuck_out_tongue:

Lamhay: Tera ghum mera ghum, hum dono kee aik kahaani, aa lag jaa gallay dil jaani… LOLZZzzz hehehehe

smilly: haaN jee bahut seekhnaa hai :wink:

Hai Mashq-e-Sukhan Jaari, Chakki kee Mushaqqat bhee
Yak tarfaa tamaashaa hai, Hasrat kee Tabiiyat bhee

Muslim_Queen: that part also had oxymoronic expressions and ironically that makes it somewhat readable :slight_smile:

Thanks everyone :slight_smile:

very nice :k:

[QUOTE]
Originally posted by Anwaar Qureshi: *
**rabika
: kiyaa yaad aa gayaa *hehe ?

[/QUOTE]

aapni nazam ya jo kuch bhi likha tha key aik ya do parts!

Sudhaar jaoo lolzzz :bailan:

Meray Mian ji nay sunn liye na tu phir bailan ki jagha GUN :soldier: hogi aaj kaal woh MR. ashiq banay huay hain meray :wink:

Waisy shabbo ki piatee ye tasvuur haye allah :love:

wowwoowowowo :eek: I just read it its beautiful Anwar

woh baa-wafa kitnay jafaakaar haiN
meri haalat-e-naadeed dekh sakay naa jo
jinhaiN gumaaaN naa huvaa
maiN jin kay liye jeewan kee sooli par chaRhaa
Dil meraa pathar ho gayaa hai shayad
khud naazuk sheeshay kee tarah ho gayaa hooN maiN

these words are beautiful

Good 1 G :k:

Nice:) and Very well written AQ

Re: — Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN —

sorry Anwaaar for delayed reply, but you I know I read and then reply…so it was really well written, beautiful expressions of emotions :k:…a nice read!

Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN

Wah... kiya baat hai

Khush rahoo

chand_chehra: Thanks a lot jee … zarra nawaazi kaa shukriyaa adab say sar jhukaanay waalaa icon

rabika: will u please share those parts of your nazm:)?

Lamhay: “sudhar jaaouN?” … address dau, abhi chalaa jaata hooN:D laikin janaa kiouN hai:konfused:?

mahnoor@lahore: aap ko alfaaz khoobsoorat laggay, aap kee samajhnay kee salaahiyat hee itni khoobsoorat hai naa iss liye :slight_smile:

cute swee2 & MANAN: Thankeww Guys :slight_smile:

?: Ata: I know :slight_smile: thanks yaaraa…

Dilsay: yeah that was my punch line … thanks for the duaa jiger :slight_smile: