--- Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN ---

Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN
Tanha hujoom kee ronaqouN maiN
Koray kaaghaz par
likhay lafzouN kee
talkh yaadouN kay pur sukoon
mazmoon kee gehraaiiyouN maiN:

Ik rishtaa joR beTha thaa maiN
kuch umeedaiN baandh beThaa thaa maiN

Ik ghalati kaa azaalah na kar sakaa
zindagi haar kar tajurbaa lay beThaa hooN maiN

unn maasoom lafzouN kee chaalaakiouN ko
phool say naazuk
ehsaas kay khaar-e-baareek say haasil
zakhmouN kee shiddat ko
naa jaanay kiouN
mohabbat samajh beThaa thaa maiN

maiN hee pagal thaa
jo woh sub kartaa gayaa
ik shakhs kee khaatir
kitnouN say moonh moRtaa gayaa

sirf iss liye:

kay hur dum ab bhee sochtaa hooN maiN
jo maiN woh sub naa kartaa
tau bay-wafaa sub ko lagtaa
zindagi kay imtehaan-e-laa haasil maiN
apni nazrouN maiN khud gharz bun gayaa hooN maiN

aur ab yeh sochtaa hooN maiN:

woh baa-wafa kitnay jafaakaar haiN
meri haalat-e-naadeed dekh sakay naa jo
jinhaiN gumaaaN naa huvaa
maiN jin kay liye jeewan kee sooli par chaRhaa
Dil meraa pathar ho gayaa hai shayad
khud naazuk sheeshay kee tarah ho gayaa hooN maiN

sub kuch seh letaa hooN abb
haNs kar aankhaiN pher laitaa hooN maiN

Zindagi kiouN unn kee khaatir
maut say hamkinaar karooN
Kay jo seenaa cheeer daiN
aur dil ko apnay lahoo luhaan karooN

apnay dil say ab muhabbat kar beThaa hooN maiN
haaN shaayad ghud gharz bunn beThaa hooN maiN

Anwaar

Re: — Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN —

very well written

i like these parts , and specailly the last vers:

apnay dil say muhabbat kar bethaa hoon main
haan shaayad khud gharz bunn betha hoon main

:flower2: :flower1:

Wow :(....

Buhat khoob…atlast u are critically re-evaluating urself Anwaar :wink:

This doesnt fit in the over all frames Anwaar. How is it that you call this life as an examination in vain?

Yahan maar kha gaye na Mian. Us ek shakhs ok jaan’na buhat zarooree hota hai, naheen to woh shakhs kaheen ka naheen chorta :smiley:

PS:- Buhat achee Azad nazm hai :k:

:flower1:

superb :k: :k: :k: :flower1:

Very nice!

I like your decision… :k:

Zindagi kiouN unn kee khaatir
maut say hamkinaar karooN
Kay jo seenaa cheeer daiN
aur dil ko apnay lahoo luhaan karooN

:flower1:

umm I jus read tht bolded line … Haan shayad main bhi khudgaraz ban bhaita hoon … :frowning: see time ki kami Aq bhai… looks good.. Definately when i get time ill read it all n comment :smiley:

Till thn hope u stay good ..

Adios :wave:

Re: --- Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN ---

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN

Zindagi kiouN unn kee khaatir
maut say hamkinaar karooN
Kay jo seenaa cheeer daiN
aur dil ko apnay lahoo luhaan karooN

apnay dil say ab muhabbat kar beThaa hooN maiN
haaN shaayad ghud gharz bunn beThaa hooN maiN

--- Anwaar
[/QUOTE]

:-) kuch yaad diladiya in parts ney!

bohat khoob!

Re: — Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN —

Beautiful Anwaar bhai :k:
Its a gem!

ur becoming one of my Fav. budding poets :smiley:
:flower1:

wah..bohat achay :)

wah kia baat hai :smack2:

wah Anwar bhai…:k:

ab tu ladooo pakke??? :bummer:

maiN hee pagal thaa
jo woh sub kartaa gayaa
ik shakhs kee khaatir
kitnouN say moonh moRtaa gayaa

hmmm aisa abhi taak chal he raha hia…hai na

:expressionless: always hum jeson k leay away…

Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN
Tanha hujoom kee ronaqouN maiN
Koray kaaghaz par
likhay lafzouN kee
talkh yaadouN kay pur sukoon
mazmoon kee gehraaiiyouN maiN:

:k:very nice keep it up

bohot ala… :k: …

very touching anwaar bhai …

That's one sweet piece of writing AQ!

Very good AQ :k:

Re: — Un-kahay lafzouN kee Baaz gasht maiN —

bohot aala, amazing
u’ve put it so wonderfully here :slight_smile: very well written Anwar “maasoom lafzouN kee chaalaakionN ko”
keep writing :k:

n life is all about dealing with the consequences of the decisions we make, so b happy :slight_smile:

AQ bhai phir say lekhain maza nahi aya