meri zeest ka ye safar abhi tamam hua nhi
**ikk diya hai akhri saans pe,**jo larrkhrraya per bujha nhi
main wo raste ki dhool hoon jise tum ne paon main rol dia
mera safr bohat taveel hai,beeta bhi or kata b nhi
abhi chahaar su andher hai
abhi din nikalne main der hai
mera sooraj bhi chamke ga
wo sooraj hai,dia nhi
meri khilwatain b ajeeb hain
**kabhi bazm main b akela,**kabhi tanha b tanha nhi
kabhi karb main doobe din mere
kabhi ratain dard se choor hain
kabhi dil ka daman chaak sa
jise aj tak sia nhi
wo sang khar hai to kya hua,kabhi gulaab sa narm b hoga
wo torr kar hara mujhe,main jurr k bhi thaka nhi…