Re: Tum vs Aap
na’oozobillah k Allah se koii apnii rishtedaarii joRne kaa soche…Allah in rishtedaariyoN se [jaisii rishtadaarii ham samajhte haiN] Paak hai.
bandagii ek zarii’a hai Allah se qurbat kaa…bande kaa Allah se qurbat rakhnaa hii to Haasil-e-zeest hai aur yehii hamaaraa nasb ul ai’n bhii honaa chaahiye.
'allamah Iqbaal ne farmaayaa thaa k:**
miTaa de apnii hastii gar kuchh martaba chaahe!
bande kaa Allah se agar qurbat maqsood na hotii to Allah Qur’aan meN kiuN farmaataa k ham tumhaarii shah-rag se bhii ziyaada tum se qareeb haiN!**
vaise, aapne mere pahle sawaal kaa jawaab nahiiN diyaa. ![]()