Re: Tum Ram kaho voh Raheem kahay
ok
raam kehna or raheem kehnay main bohat bara farq hay
Allah ki zaat ki maarfat asal bat hay ..Allah wahid hai is ka koi shareek nahi ..yeh aqeda hay raheem keh ker pukarnay walay ka or us ki pukaar sunee jayee
Raam kehnay walay kay saamnay bhi ir dil main kayee sanam hain ...woh shirk kay saath pukaar raha hay ..us ki gharz Allah nahi us ka apnay nafs ka banaya khuda hay
is ley Ya raheem ik rohane wird hay
raam raam yeh shaitanee wird hay
Hindu religion ki base bhi toheed per hai... un ke haan bhi wahdaniyat hai... OM ki koi moorti nahin bani aaj tak
waqt guzarne ke sath Hindu main otaar ka concept aaya, jaise hum muslims main wali, qutb ka aaya...
[QUOTE]
deen islam hay .. jissay Allah nay pasand kia or femrya Allah k nazdeek deen ISLAM hay ( al,Ayaah)
Dharam kehnay wala shaytaan ki raah per per hai
[/QUOTE]
Islam sirf wahdaniyat chahta hai.. saare ache alfaaz aur alqabaat Allah ke liye hai.. zabanen badalne se kuch nahin hota.. main usse Malik kahoon, khuda kahoon ya Arabic ka koi naam lekar pukaroon... agar mera uss ki zaat per yaqeen hai to wo zaroor sune ga
[QUOTE]
Allah or shaytan ki mansha kabhi ik nahi hotee
saalik ...irfaan-e-ilaahe say masroor hay ..pak saaf mutaaqe ..buland perwazz
[/QUOTE]
Shaitaan to sirf raah se hatane ka naam hai.. wo Muslim ko bhi hata sakta hai Hindu ko bhi
[QUOTE]
Yogi... woh jo bilkul he gumrah ho gaya or dosroo ko bhi gumrah kernay laga
[/QUOTE]
boht se Hindu bhi to yoga karte hain aur Muslims muraqiba.. nataij ek jaise kiyun hain?
[QUOTE]
na na..
islam to shajr-e-tayyba hay ..jaysay khajoor ka derkhat jo opper ki janib cherhta hay apnay naik ammal say
or islam kay ilawa her mazhab jhaar jhinkaar hay ..shajr-e-khabeesa
[/QUOTE]
As a Muslim I agree, but as a human I would show same respect for others sentiments because its Islam that teaches me to do so
[QUOTE]
gara ki kia haysiyat hay
isi mitti say firoon bhi hain or issi mitti say mosa bhi
kia woh ik barabar thay ...hargiz nahi
masjid Allah ka gher
or baqee sub shaytan kai gerh
[/QUOTE]
Jab Allah her jagah hai to kia wo Mandir main nahin? pukarne wala dil se pukare to wo her jaga mil jata hai.
Deir Mein Tu, Haram Mein Tu
Arsh Pe Tu, Zameen Pe Tu
Jiss Ki Puhanch Jahan Talak
Uss Ke Liye Wahin Pe Tu
[QUOTE]
ufffffffffffffffffffff
Namaz momin ki mayraaj...kia wuzoo hay kia aajizee hay .momin ki .. apnay rub kay huzoor
or
pooja...kia haqeeqat hay is ki ? shaytan ki taleem ,,
[/QUOTE]
Mazhab to uss tak pohunchne ka zareeaa hai.. wo Rabb ul aalameen hai sirf Rabb ul Muslimeen nahin
[QUOTE]
sahee bat to yeh hay k yeh kissi MUSLIM ki poetry hay he nahi
hamara bhai sirf woh hay jo muslman hai
baqee kay sath insaniyat ka rishta hay ..lakin tub tak jub tak woh islaam ko nuqsaa nah pohnchaain
[/QUOTE]
aur sahi Muslim wo hai jis ki zaat se logon ke maal, jaan aur jazbaat mehfooz rahe..
Remember prophet said "tum kisi ke khudaon k bare main bura na kaho, taake unhe tumhare khuda ke bare main bura kehne ka moqa na mile'