Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

Zindagi shamm’a kee maaniNd jalaataa hooN ‘Nadeem’
bujh to jaaouN gaa magar subhu tau kar jaaouN gaa

Ahmed Nadeem Qasmi’s death is probably the second biggest loss of contemprory urdu literature after Faiz Ahmed Faiz.

Kaun kehta hai maut aaYee tau mar jaaouN gaa
MaiN tau Daryaa hooN samander maiN utar jaaouN gaa

A person of such a high caliber in his poetry, and I am surprised to see NO dedication in this very forum.

Ahmed Shah (Nadeem) Qasmi was born on 20th December, 1916 in Anga, Shahpur in Pakistan. His works include Jalaal-o-Jamaal, Rimjhim, Shola-o-Gul, DharkaneN and Dasht-e-Vafa

He was not only a poet and writer himself but a god-father to many prose writers as well as poets. His color of poetry was seen in the poetry of Late Parveen Shakir.

In early 70’s when Ata-ul-Haq Qasmi started his career in journalism in Ahmed Nadeem Qasmi’s **Funoon **- a well known urdu literary Journal, it was Ahmed Nadeem Qasmi who guided him and made him write his first Travelogue Khand-e-Mukarrar

He was a master of writing short stories [afsaana], perhaps as good as Prem Chand. His books include Chopaal, Sannata, and Kapaas ka Phool

**um’r bhar saNg-zaani kartaY rahaY ahl-e-Watan **
**yeh alag baat ke dafanaayeN geY aizaaz kaY saath **

Re: -Memorial- Kaun Kehta hai maut aaYe tau mar jaaouN gaa?

aaj talak surkh-o-sufaid sudio kay saaey tallay
adam-o-huva ki aulaad pur kia guzri hay

moot aur zeest ki rozana ki safaaraai main
hum pay kia guzray gi, ujdaad pur kia guzri hay

=======================================

ziist aazaar hu_ii jaatii hai
saa.Ns talavaar hu_ii jaatii hai

jism bekaar huaa jaataa hai
ruuh bedaar hu_ii jaatii hai phuul hii phuul hai.n har simt 'Nadeem'
raah dushvaar hu_ii jaatii hai

Re: -Memorial- Kaun Kehta hai maut aaYe tau mar jaaouN gaa?

we mourned his death :frowning:

http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?t=222982

And a dedicated thread is in the store for him but you know currently it’s Amjad Islam Amjad’s thread sticky up there. I am sure NikamiJi will start Qasmi jee’s thread soon. So keep your stuff ready :slight_smile:

Re: -Memorial- Kaun Kehta hai maut aaYe tau mar jaaouN gaa?

Kaun kehta hai maut aaYee tau mar jaaouN gaa
MaiN tau Daryaa hooN samander maiN utar jaaouN gaa

very nice sher anwar .. i was thinking to share this she'r but u got number .... anyway thx for sharing such a good stuff

Re: -Memorial- Kaun Kehta hai maut aaYe tau mar jaaouN gaa?

Thanks :slight_smile:

appreciated :flower1:

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

**
Wo koi aur na they chand khushk pattey they
shajar se toot ke jo fasl-e-gul per roye they

abhi abhi tumheiN socha to kuch na yaad ayaa
abhi abhi to ham aik-doosrey sey bicharey they

tumharey baad chaman par jab aik nazar dali
kali kali main khizaan ke chiraagh jalate they

tamaam umer wafaa key gunaahgar rahey
ye aur baat key ham aadami to achchey they

shab-e-khamosh ko tanhai ney zaban dey di
pahar gunjtey they dasht san sanatey they

wo aik baar marey jin ko thaa hayaat sey piyaar
jo zindagi sey guraizaan they roz maratey they

naye Khayaal ab aatey hain dhal ke zahan main
hamarey dil main kabhi khait lah_lahate they

ye irtiqa kaa chalan hai ki har zamane main
puraaney log naye aadami sey daratey they

'Nadeem' jo bhii mulaqat thi adhoori thi
kai aik cheharey key peecheye hazaar cheharey they

**

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

**

MarooN to meiN kisi chehrey meiN rang bhar jaaooN
Nadeem kaash yahii aek kaam kar jaaooN

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas
jo izaan ho to teri yaad sey guzar jaaooN

meraa wajood meri rooh ko pukaartaa hey
teri taraf bhi chalooN to tthehar tthehar jaaooN

terey jamaal ka partau hey sab haseenoN par
kahaaN kahaaN tujhe dhooN'dooN kidher kidher jaaooN

meiN zindaa tha ke teraa intazaar khatm na ho
jo tu milaa hey to ab sochta hooN ke mar jaaooN

ye sochataa hooN ke meiN but-parast kyooN na huwa
tujhey qareeb jo paaooN to khud se dar jaaooN

kisii chaman me.n bas is Khauf se guzar na huaa
kisii kalii pe na bhuule se paa.Nv dhar jaaooN

ye ji meiN aati hey takhleeq-e-fun ke lamhoN meiN
ki khoon ban ke rag-e-sang meiN khud utar jaaooN**

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar

ek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.N

mai.n tere saamane ambaar lagaa duu.N lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa

surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa

yaa vo pattharaa_ii hu_ii aa.Nkh kaa niilaa patthar
jis me.n sadiyo.n ke tahayyur ke pa.De ho.n Dore

kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii?
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai

ik vo patthar hai jise kahate hai.n tahaziib-e-safed
us ke mar_mar me.n siyah Khuun jhalak jaataa hai

ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath me.n teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai

jitane mayaar hai.n is daur ke sab patthar hai.n
sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar

is zamaane me.n har fan kaa nishaa.N patthar hai
haath patthar hai.n tere merii zubaa.N patthar hai

ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar ........

Re: -Memorial- Kaun Kehta hai maut aaYe tau mar jaaouN gaa?

nice Junon

here iz da complt ghazal :
ziist aazaar hu_ii jaatii hai
saa.Ns talavaar hu_ii jaatii hai

jism bekaar huaa jaataa hai
ruuh bedaar hu_ii jaatii hai

kaan se dil me.n utaratii nahii.n baat
aur guftaar hu_ii jaatii hai

Dhal ke nikali hai haqiiqat jab se
kuchh pur_asraar hu_ii jaatii hai

ab to har zaKHm kii muu.Nh_band kalii
lab-e-izahaar hu_ii jaatii hai

phuul hii phuul hai.n har simt 'Nadeem'
raah dushvaar hu_ii jaatii hai

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

Last nite i was listening 2o fm 100 ajmal shobi's prog in this prog a caller read Ahmed Nadeem Qasmi's Ghazal n it was such a marvales piece of His poetry if any 1 has listend it too so plz send dat gr8 ghazal m thankful 2 you !

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

Thanks Amal :)

*Lab-e Khaamosh seY afshaa hogaa *
*raaz har rang maiN rusvaa hogaa *

*dil kaY sehraa maiN chalee sard havaa *
*ab'r gulzaar paY barsaa hogaa *

*tum naheeN thaY tau sar-e-baam-e-KhayaaL *
*yaad kaa koi sitaaraa hogaa *

kis tawaqoh paY kisi ko dekhaiN
*koi tum se bhee haseeN kiya hogaa *

*zeenat-e-halqaa-e-aaGosh bano *
*duur baiThogeY tay charchaa hogaa *

*zulmat-e-shab maiN bhee sharmaateY ho *
*dard chamkeY gaa to phir kiyaa hogaa *

*jis bhee funkaar kaa shaahakaar ho tum *
*us ne sadiyoN tumhaiN sochaa hogaa *

*kis qad'r karb seY chaTkee hai kali *
*shaaKh seY gul koi TooTaa hogaa *

*um'r bhar roye faqat is dhun maiN *
*raat beeti to ujaalaa hogaa *

*saari duniyaa hamaiN pehchaanti hai *
*koi ham-saa bhee na tanhaa hogaa *

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

A beautiful piece from his poetry.
(If you find any mistake, plz correct it. My urdu is not that great - I might have missed something. Thanks)

Jee chahta hai falaq pay jaaun
Sooraj ko gharoob say bachaaun

Bus maira chaley ju gardishon pay
Din ko bhi na chaand ko bujhaaun

Mai chorR k seedhaay raastoon ko
batki hoi naikiyaan kamaaun

Imkaan pay is qadar yaqeen hai
Sehraaun pay beej daal aaun

Mai shab k musaafaroon ki khatir
Mashal na milay tu ghar jalaaun

Ashaar hain mairay ista'araay
Aao tumhain aainaa dikhaaun

Yoon but k bikhar k reh gayaa hoon
Har shakhs mein apna aks paaun

Awaz ju doon kisi k dar par
Andar say bhi khud nikal k aaun

Ai chaara giraan-e asr-e haazir
Folaad ka dil kahaan say laaun

Har raat duaa karoon sahar ki
Har rauz nayaa faraib khaaun

Har jabar pay sabar kar raha hoon
Is tarah kahin ujarR na jaaun

Kar doob rahey hain teeragi mein
Qabaroon pay magar diyay jaalaaun

Rona tu bhi tarz-e-guftagu hai
Ankhein ju rukein, tu lub hilaaun

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

**gul teraa rang churaa laaye hai.n gul_zaaro.n me.n
jal rahaa huu.N bharii barasaat kii bauchhaaro.n me.n

mujh se kataraa ke nikal jaa magar ai jaan-e-hayaa
dil kii lau dekh rahaa huu.N tere ruKhasaaro.n me.n

husn-e-begaanaa-e-ehasaas-e-jamaal achchhaa hai
Gunche khilate hai.n to bik jaate hai.n baazaaro.n me.n

zikr karate hai.n teraa mujh se baa_unavaan-e-jafaa
chaaraagar phuul piro laaye hai.n talvaaro.n me.n

zaKhm chhup sakate hai.n lekin mujhe fan kii saugaundh
Gam kii daulat bhii hai shaamil mere shaahakaaro.n me.n

mujh ko nafarat se nahii.n pyaar se masluub karo
mai.n to shaamil huu.N mohabbat ke gunaah_gaaro.n me.n

**

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

Izhar

tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai
tuu ne honToN ko larazne se to rokaa hotaa

be-niyaazii se, magar kaaNptii aavaaz ke saath
tuu ne ghabraa ke miraa naam na puuchaa hotaa

tere bas meN thii agar mash’al-e-jazbaat kii lau
tere ruKhsaar meN gulzaar na bhaRkaa hotaa

yuN to mujh se huii sirf aab-o-havaa ki baateN
apne TooTe hue fiqroN ko to parkhaa hotaa

yuuNhii be-waj’h ThiThakney ki zaruurat kyaa thii
dam-e-ruKhsat maiN agar yaad na aayaa hotaa

teraa ghammaz banaa khud tiraa andaaz-e-khiraam
dil na sambhlaa, to qadmoN ko sambhaala hota

apne badle miree tasviir nazar aa jaati
tuu ne us vaqt agar aaiinaa dekhaa hotaa

hoaslaa tujh ko na thaa mujh se judaa hone kaa
varnaa kaajal tiree aaNkhoN meN na phailaa hotaa

Ahmed Nadeem Qasmi

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

kis ko qaatil maiN kahuuN kis ko masiihaa samajhuuN
sab yahaaN dost hii baiThe haiN kise kyaa samajhuuN

vo bhii kyaa din the ke har vah’m yaqiiN hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhuuN

dil jo TuuTaa to ka’ii haath du’aa ko uThThe
aise maahaul meN ab kis ko paraayaa samajhuuN

zulm ye hai ke hai yaktaa terii begaanaaravii
lutf ye hai ke maiN ab tak tujhe apnaa samajhuuN

**
Ahmed Nadeem Qasmi**

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

mujhse kaafir ko tere ishq ne yuuN sharmaayaa
dil tujhe de ke dhaRkaa to Khudaa yaad aaya

chaaraagar aaj sitaaroN kii qasam Khaa ke bataa
kisne insaaN ko tabassum ke liye tarsaayaa

nazr kartaa rahaa maiN phuul ke jazbaat use
jisne patthar ke khilonoN se mujhko bahlaayaa

usne andar ko’ii fankaar chhupaa baiThaa hai
jaante-buujhte jis shaKs ne dhokaa Khaayaa

Ahmed Nadeem Qasmi

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

vo ko’ii aur na thaa chand Khushk patte the
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the

abhii abhii tumheN sochaa to kuchh na yaad aayaa
abhii abhii to ham ek-duusre se bichhRe the

tumhaare baad chaman par jab ek nazar Daalii
kalii kalii meN KhizaaN ke chiraaG jalte the

tamaam umr vafaa ke gunaah-gaar rahe
ye aur baat ke ham aadmii to acche the

shab-e-Khaamosh ko tanhaa’ii ne zubaaN de dii
pahaaR guuNjte the dasht san-sanaate the

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
jo zindagii se gurezaaN, the roz marte the

naye Khayaal ab aate haiN Dhal ke zehn meN
hamaare dil meN kabhii khet lah-lahaate the

ye irtiqaa kaa chalan hai ke har zamaane meN
puraane log naye aadmii se Darte the

“Nadeem” jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ke ek chehre ke piichhe hazaar chehre the

Ahmed Nadeem Qasmi

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

andaaz huu-ba-huu terii aavaaz-e-paa kaa thaa
dekhaa nikal ke ghar se to jhauNkaa havaa kaa thaa

is husn-e-ittefaaq pe luT kar bhii shaad huN
terii razaa jo thii, vo taqaazaa vafaa kaa thaa

dil raakh ho chukaa to chamak aur baRh ga’ii
ye terii yaad thii ke amal kiimiyaa kaa thaa

is rishtaa-e-latiif ke asraar kyaa khuleN
tu saamne thaa aur tassavvur Khudaa kaa thaa

chhup chhup ke rouuN aur sar-e-anjuman haNsuuN
mujh ko ye mashvaraa mere dard-aashnaa kaa thaa

uThThaa ajab tazaad se insaan kaa Khamiir
aadii fanaa kaa thaa to pujaarii baqaa kaa thaa

TuuTaa to kitne aaiinaa-KhaanoN pe zad paRii
aTkaa huaa gale meN jo paththar sadaa kaa thaa

hairaan huN ke daar se kaise bachaa “Nadeem”
vo shakhs to Ghariib-o-Ghayuur intihaa kaa thaa

*Ahmed Nadeem Qasmi *

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

Excellent collection rashid :k:

Re: Tributes to Ahmed Nadeem Qasmi

Thanks Amal