Tribute to Parveen Shakir

Meri adat ka kaya hai her sanse atakti hai
Hoont sukhtay hain, roh bachain rehti hai

Kuch to humain yaad kiya hoga anjanay mai
Yan bohat waqt laga nishaan mitanay mai

Mujhay afsoos nahi teri judai ka
Mai intezaar mai houn sunwai ka

Yaqeen hai aj bhi apni mohabat per mujhay
Ankh bandh keroun dekhoun her pal tujhay

Meri adat ka kaya hai her sanse atakti hai

WOW!!! That is awesome :k: thanks GKK :slight_smile:

Lovely :slight_smile:

kia khyal hai aap loggon ka, shall we start a new thread on some other poet or do you want more ghazals of Parvin Shakir to be added to this thread. It would serve as a database on her work too.

If you guys have any suggestion, please let me know and if you have any specific poet in your mind, please share it with us.

Parveen shakir ki purisrar shaksiyaat ko samjhna chahta thaa,,,lekin yeh kia kay,,,piyaas mazeed berh gaye aur es chadder mai kuch gerhain aur bandh gayen,,,,ab enhay kaun kholay ga, kaun suljhaye ga yeh tanay banay,,:)

Tu nay kabhi socha

Gila kam goi ka baja hai
Laikin Ay Jan-i-sukhan!

Tu nay kabhi socha

Kay teri simt jab bhi ankh bhar kar daikhtee hun tow
Meri halki sunehri jild kay neechay
Achanak
Itnay dhairoon nanhay nanhay say diyay kyoon jalnay lagtay hain?

Sade Barg

Baad mudat usay daikha logo
Woh zara bhi na badla logo
Kush na tha mujh say bichar kar woh bhi
Uskay chahray par likha tha logo

Uski ankhain bhi kahay daitee theen
Raat bhar woh bhi na soya logo

Ajnabi ban kay jo guzra hai abhi
Tha kisi waqt main apna logo
Dost tow khair koi kis ka hai
Usnay dushman bhi na samjha logo

Raat woh dard meray dil main tha
Subh tak chain na aya logo

Pyaas sehraaon ki phir taiz hui
abr phir toot kay barsa logo

Mahay Tamam Mahay Tamam

Shall we move on guys. Do you have any other Shayer/Poet that you want to discuss about and post your favourites of him/her for the next month? Jaldi batain ........

shukria.

my vote goes to AHMED FARAZ

Aap logoon kay liyay chand ashaar by Parveen Shakir

Tu badalta hai tow besakhta meri ankhain
Meri hathown ki lakeeron say uljh jati hain

        -------------------

Jis tarha khawaab meray ho gay raiza raiza
Is tarha say na kabhi tut kar bikhray koi

        ------------------

Dil usay chahy jisay aql naheen chati hai
Khana jangee hai ajab zehno badan main ab tak

      ------------------

Shaam bhi ho gaee, dhundla gaeen ankhain meri
Bhulnay walay main kab tak tera rasta daikhoon

       -----------------

Quwat-e-gham hai jo is tarha sambhalay hai mujhay
Warna bikhroon kisi lamhay tow simatna mushkil

more later

Koi sawaal jo poochay tow kia kahoon us say
Bicharnay walay! sabab tow bata judai ka


Woh kaheen bhi gaya lota tow meray paas aya
Bas yehi baat hai achee mery harjai ki


Woh samandar hai tow rooh ko shadaab karay
Tishnagi kyoon mujhay daita hai saraboon ki tarha

Etnay khobsorat ashaar mai say kounsa acha hai
yeh sawal na uthay, parda dari teri maqsood hai

Minerva ! App ki jitni bhi tareef ki jaye woh kam hai..,,You'r truly a good mod,,:Salute:

Daikhain jee, hamara kaam tow aap logon ki kidmat hai. Sharminda na karain. Shukria :)

i think we should move on to another poet ..

GKK, there is another thread where you can post the name of the poet to be discussed and whose works you want to post and read.