Tribute to Parveen Shakir

Apni tanhai mere naam pe abaad karay...
Kaun hoga jo mujhe is tarha yaad karay?

Dil ajab sheher, keh jis per bhi khulla dar iska...
Woh musaafir issay her simt se barbaad karay!

Apne qatil ki zehaanat se pareshaa.N hoo.N mai
Roz eik maut naye tarz ki ijaad karay!

Uski Muthi mai bohat roz raha mera wujood,
Mere saahir se kaho ab mujhay azaad karay!

-Selected verses of parvee shakir by monasha

Shikan chup hai
Badan khamosh hai
Gaalon pe waisi tantamahat bhi nahin, lekin
Main ghar se kaise nikloon gi
Hawa, chanchal saheli ki tarah bahar khari hai
Dekhte hi muskuraye gi
Mujhe choo kar teri har baat paa le gi
Mujhe tujhse chura le gi
Zamaney bhar se keh de gi
Main tujhse mil ke ayi hoon!
Hawa ki shokhiyaan yeh
Aur mera bachpana aisa
Ke apne aap se bhi main
Teri khushboo chupati phir rahi hoon!

Posted by KhamoshNigahein

:k: .. :k: ..

Uski hatheli per mere aaNsu
kitne ache lagte haiN
jese subah savere
kaNval ki pankhhRiyaN
shabnam se jaGmaG karti houn
moti jesi shabnam…
phhuul ki aankhoN maiN ja kar heere ki kanni ban jati hai
qatra qatra dil kaT’ta hai
khubshbu dheere dheere tann maiN phelti hai
shabnam phuul ke ranG maiN aakhir ranG jati hai
nanne nanne charaghoN ki Lo bhaRti hai tou
uska chehra pehle se baRh ka roshan lagne lagta hai
uski aaNkhhkoN maiN mere aaNsu kitne ache lagte haiN!

posted by Nazish appi ..

aweosme .. :k: ..

Alright read this ....

[thumb=H]parveen18905_6564827.JPG[/thumb]

Another One ...

[thumb=H]PerveenS18905_9727268.JPG[/thumb]

Awesome! Guys thanks a lot for posting in this thread. Now, I will request you to add more from Parveen Shakirs poetry before we move on to another poet. Kia khhyaal hai :slight_smile:

Ghazal kisi ki, shukria for the effort :flower1:

MERI TARHAN SAY KOI HAY JO ZINDAGEE APNI
TUMHAREE YAAD K NAAM INTE_SAAB KER DAY GA

I luv it

I love every shair in there…It’s so beautifullllll…:blush:

Larkiyoan ke dukh ajab hote hain,sukh uss se ajeeb
hanss rahi hain aur kajal bheegta hai saath saath…

:flower1:

aaA Parveen !

Etni gherai samaitay jahan aboor ker gayen
Na zoor kiya na shor, bas saman loot gayen

Minay to sirf sata ko kuraida tha,
yahan to ambaar lagay hain dewanoo kay,:mash:

:clap::clap::teary2::clap::clap:

~hame khabar hai hawa ka mizaaj rakhte ho
magar ye kiya ke zara der ko ruke bhi nahi~

Saba mizaaj hay aye ga guzar jaye ga
Per uss kee yaad ka badal kaheen toa tehray ga

(SHOW_SHA)

bohut khoob .. :k: ..

Minerva shukria .. and here are some more before we move on ..

*tujh say to ko'ie gilah naheeN hai *

tujh say to ko'ie gilah naheeN hai
Qismat maeN meri, Silah naheeN hai

biChRay to najaanay Haal kiyaa ho
jo ShaKhS abhi milaa naheeN hai

jeenay ki to aarzoo hi kab thee
marnay kaa bhi HauSalah naheeN hai

jo zeest ko mu'utabir banaa day
aisaa ko'ie silsilah naheeN hai

KhuShboo kaa Hisaab ho chukaa hai
aur phool abhi khilaa naheeN hai

sar-Shaari'ay rehbari maeN daekhaa
peeChay maeraa Qaafilah naheeN hai

ik Thaes peh dil kaa phooT behnaa
Choonay maeN to Aabalah naheeN hai

if these ghazals are not written by Parveen Shakir plz do let me know .. bcuz i got these from a site couple of months back .. thanx ..

ham nay hi lauTnay kaa iraadah naheeN kiyaa

ham nay hi lauTnay kaa iraadah naheeN kiyaa
uss nay bhi bhool jaanay kaa va'adah naheeN kiyaa

dukh oRhtay naheeN kabhi jaShn-e tarab maeN ham
malboos-e dil ko tan kaa libaadah naheeN kiyaa

jo Gham milaa hai bojh uThaayaa hai us kaa Khud
sar zaer-e baar-e saaGhir-o baadah naheeN kiyaa

kaar-e jahaaN hamaeN bhi bahut thay safar ki Shaam
uss nay bhi iltefaat ziyaadah naheeN kiyaa

Aamad peh taeri itr-o charaaGh-o suboo nah ho
itnaa bhi bood-o baaSh ko saadah naheeN kiyaa

*duaa ka TooTaa huaa harf, sard Aah maeN hai *

duaa ka TooTaa huaa harf, sard Aah maeN hai
teri judaa'ie kaa manzar abhi nigaah maeN hai

teray badalnay kay bavasf tujh ko chahaa hai yeh
ae'teraaf bhi shaamil meray gunaah maeN hai

azaab dae-gaa to phir mujh-ko Khwaab bhi dae-gaa
maiN mutma'in meraa dil teri panaaH maeN hai

bikhar chukaa hai magar muskaraa kay miltaa hai
woh rakh rakhaa'o abhi maeray kaj-kulaah maeN hai

jisay bahaar kay mehmaan Khaali choR ga'ae
woh ik makaan abhi tak makeeN ki chaah maeN hai

yehi woh din thay jab ik doosray ko payaa thaa
hamaari saalgirah Theek aglay maah maeN hai

maiN bach bhi jaa'ooN to tanhaa'i maar Daalay gi
meray Qabilay kaa har fard Qatl-gaah maeN ha

agarCheh tujh say bahut iKhtelaaf bhi na hu'aa

agarCheh tujh say bahut iKhtelaaf bhi na hu'aa
magar yeh dil teri jaanib say Saaf bhi na hu'aa

ta'alluQaat kay barzaKh maeN hi rakhaa mujh ko
voh maeray haQ maeN nah thaa aur Khilaaf bhi na hu'aa

ajab thaa jurm-e muhabbat keh jis peh dil nay
meray sazaa bhi paa'ie naheeN aur mu'aaf bhi na hu'aa

malaamatooN maeN kahaaN saaNs lay sakaeN gay
voh log kieh jin say koo'ay jafaa kaa tavaaf bhi na hu'aa

ajab naheeN hai keh dil par jami mili kaa'ie
bahut dinooN say to yeh Hauz saaf bhi na hu'aa

havaa'ay dehr! hamaeN kis liy'ay bujhaati hai
hamaeN to tujh say kabhi iKhtelaaf bhi na hu'aa

PS: again if you know that its not parveen shakir plz let me know ..

baadbaaN khulnay say pehlay kaa ishaarah daekhnaa

baadbaaN khulnay say pehlay kaa ishaarah daekhnaa
maiN samandar daekhti hooN, tum kinaarah daekhnaa

yooN bichaRnaa bhi bahut AasaaN na thaa us say magar
jaatay jaatay us-kaa woh muR kar dobaarah daekhnaa

kis shubaahat ko liyay Aayaa hai darvaazay peh chaaNd
aiy shab-e hijraaN zara apnaa sitaarah daekhnaa

kiaa Qayaamat hai keh jin kay naam par paspaa hu'ay
un hi logooN ko muQaabil maeN saf-Aaraa daekhnaa

jab banaam-e dil gavaahi sar ki maaNgi jaa'ay gi
Khoon maeN Doobaa huaa parcham hamaaraa daekhnaa

jeetnay maeN bhi jahaaN ji kaa ziyaaN pehlay say hai
aisi baazi haarnay maeN kiaa Khasaarah daekhnaa

Aa'inaay ki AaNkh hi kuch kam na thi maeray liyay
jaanay ab kyaa kyaa dikhaa'ay gaa tumhaaraa daekhnaa

ek mushet-e-Khak aur woh bhi hava ki zad maeN hai
zindigi ki bay-basi kaa isti'aarah daekhna

*Qirya-e jaaN maeN ko'ie phool khilaanay Aa'ae *

Qirya-e jaaN maeN ko'ie phool khilaanay Aa'ae
woh meray dil peh nayaa zakhm lagaanay Aa'ae

maeray veeraan dareechooN maeN bhi khushbu jaagay
woh meray ghar kay dar-o-baam sajaanay Aa'ae

us say ik baar to rooThooN maiN usi ki maaniNd
aur meri tarah say woh mujh ko manaanay Aa'ae

isi koochay maeN ka'ie us-kay shanaasaa bhi to haiN
woh kisi aur say milnay kay bahaanay to Aa'ae

ab na poochooNgi maiN kho'ay hu'ay khwaabooN ka pata
woh agar Aa'ae to kuch bhi na bataanay Aa'ae

zabt ki shehr-panaahooN ki meray maalik khair
Gham kaa sailaab agar mujh ko bahaanay Aa'ae

Wah GKK waw,:teary2:

jisay bahaar kay mehmaan Khaali choR ga’ae
woh ik makaan abhi tak makeeN ki chaah maeN hai

yehi woh din thay jab ik doosray ko payaa thaa
hamaari saalgirah Theek aglay maah maeN hai

maiN bach bhi jaa’ooN to tanhaa’i maar Daalay gi
meray Qabilay kaa har fard Qatl-gaah maeN ha

:clap: