Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Do you have real player installed?
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Do you have real player installed?
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Its of Bhartari Hari not of my grandfather.
Yes. Today I have downloaded it but it still not working. Yesterday downloads were not allowed by my server.![]()
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
ok , if u dont want to give a file with ur voice, if u can do me a favour and tell me where i can read that poem of Sir Allama Muhmmad Iqbal :rehm: or listen it in someone else’s voice?
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
"Sabaq phir parh sadaaqat ka, adaalat ka, shuja'at ka,
Liya jayega tujh se kaam dunya ki imaamat ka."
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
aaye haaYe buraa maan gaYe ![]()
Kuch ghum naheeN jo Hazrat-e-Waa’iz haiN Tung-dust
Tehzeeb-e-Nau kaY saamnaY sar apnaa kha’m karaiN
Rudd-e-Jihaad maiN tau bahut kuch likhaa gayaa
Tardeed-e-Hujj maiN koi risaalah Raqam karaiN!
Check your PM in few minutes :halo:
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
He wants to restore the same self-confidence among Muslims, which led them to the heights of glory in the past.
Cheeno Arab hamaara Hindostan hamaara,
Muslim hayn-ham, watan hay saara jahaan hamaara
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Thank you , i got it AQ bhai.
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Khudi ka Sir-e-nehaan La illa Ill Lallah
Khudi hai Tegh-e-Fasaan La illa Ill Lallah
Yeh Daur apnay Brahim :as: ki talash main hai
Sanam kada hai jahan La illa Ill Lallah
Agarchay but hain jamat ki aastinoon main
Mujhhay hai Hukm-e-Azan La illa Ill Lallah
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Ahkaam terey haq haiN mager apney mufassir
Taaweel sey Qur'an ko bana saktey haiN Paz'haNd !
"Oh Allah! Your guidance is no doubt The Truth. But our interpretators can turn Qur'an into Paz'haNd by their interpretations"
:-(
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
**Gulzaar-e-Hast-o-Bood, na begana waar dekh
Hai daikhanay ki cheez, isay baar baar dekh
Aya hay tao jahan main, misaal-e-sharrar dekh
Dum day na jaye, hasti na payedaar dekh
Mana kay teri deed kay qaabil naheen hoon main
Too mera shauq dekh, mera intezaar dekh
Kholi hain zoq-e-deed nay aankhain teri agar
Har rahguzar main naqsh-e-kaff-e-pa-e-yaar dekh**
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Ik Din Rasool-e-Pak nay Ashaab say Kaha **
** Dain Maal rah-e-Haq mein jo hon Tum main maal daar
** Irshaad sunn kay, firt-e-tarab say Umer (Rz) Uthay**
** Is roz un kay paas thhay darham kayi hazaar**
** Dil main yeh Keh rahay thhay keh Sidique say Zuroor**
** Bardh kar rakhay ga Aaj qaddam mairra Rahwar**
** Laye gharz keh Maal-e-Rasool-e-Ameen kay paas**
** Eisaar ki hay dust-e-naggar ibtadaye kaar**
** Poochha Huzoor Survar-e-Aalam nay,"Aay Umer!**
** Aay woh keh Josh-e-Haq say taray Dil ko hai Qarrar**
** Rakhaa hai kuchh Ayiyaal ki Khatir bhi too nay keya?**
** Muslim hai apnay Khawaish-o-Aqarib ka Haq guzzaar"**
** Ki Arz," Nisf maal hai farzand-o-zunn ka Haq**
** Baqi jo hai woh milat-e-bayza pay nisaar"**
** Itnay main Woh Rafeeq-e-Naboowat bhi aa geya**
** Jis say binaye Ishq-o-Mohabbat hai ustawar**
** Lay aya apnay sath woh mard-e-wafa sarrisht**
** Har Cheez, jis say chasham-e-jahaan mai ho aetabar**
** Milk-e-yameen-o-Darham, dinar-o-rakht-o-jins**
** Isp-e-qamar sum-o-shuttar-o-Qatir-Himaar**
** Bolay Huzoor," Chahiye fikar-e-Ayaal bhi"**
** Kehnay laga woh ishq-o-mohabbat ka raaz daar**
** "Aay tujh say deedah-e-mah-anjum faroogh geer**
** Aay tayri Zaat ba'ise taqween-e-Rozgaar**
** Parwaanay ko charaagh hai bulbul ko phool bus**
** Sidique kay liye hai Khuda ka Rasool bus"**
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Achi koshish o kaavish hai, lekin bhai sahab humko aap say yeh ummeed aur tawaqqo na thee keh aap bhi Aeraab aur talaffuz ka khiyaal keeay bina nazmaiN paRhaiN gay.
Hum nay pehlay tu dono download ker leen, phir abhi Shikwa ka pehla bund hee suna tha keh bas na pooocheay... aap say guzaarish hai keh sahee tallafuz main paRhaiN aur dobara upload keejeay.
Aapnay pehlay bund kai aakhir shair kay pehlay misra maiN "Jurrat Aamoz" ko "Jurrat e Aamoz" paRha yahi zair izafat kay saath, aur aakhiri misra maiN "Khakham Badahan" ko "Khakim Badahan" paRha yani zabar kay bajaye zair. :)
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
^
Taseeh karnaY kee koshish maiN aap kaY shikwaY kaa shukria ...
tamaam hazraat mundarjaa baalaa ghalatiyoN ko madd-e-nazar rakhtaY huvaY shikwah sunniye...
dobarah record karnaY kaa waqt naheeN apun kaY paas :p
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
AQ bhai.... Apun ne tou Sun lia Jesa bhi tha.. ;)
Baaz JaghooN pe aap ne..... "kash" Walay Kaaaaf ko bhi .... " do nukti)" Qaaaf ki tarha Pronoucne kia hay... :)
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Aray wah yeh tu sirf eik bund sunnay kay baad jo meri saamjh mai aayeeN woh aap kay gosh guzaar ker deeN, pooray SHikway aur Jawaab may tu pata nahee kitna baish baha khazana nehaaN hoga (of course meri muraad mistakes say hai) ![]()
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
mera khiyaal hai maiN link delete karwaa detaa hooN
Mod: please delete the link!
jin logoN ko aitraaz hai, woh khud upload kar saktaY haiN :)
thanks!
GS: bhai jaan ... I think I know a lot about Qaaf and Kaaf...
we just call Qalb as kalb in urdu so u may not have liked it.. I can understand... but if u like kalb, good for you!
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Link Deleted ![]()
But mera Ishara … Ka’abay ki taraf tha…
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
may be, you were mistaken by the sound of “A’in” but any way.. all good…
thanks for deleting…
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
May be.. ![]()
U r Welcome ![]()
Re: Tribute to IQBAL (The Gr8)
Dar masafi paish aan gardoon sareer
Dukhtar-e-Sardaar Ti* aamad aseer
Pa-e dar zanjeer wa hum bi parda bood
Gardan az sharam-o-Haya kham karda bood
Dukhtarak ra choon Nabi :sw: bi parda deed
Chadar-e-Khud paish rawi oo kasheed
Ma az aan Khatoon-e-Ti Uriyaan tareem
Paish-e-Aqwaam-e-Jahan bi chadaraim
Tarjumah yahan mulahiza farmayein.
http://www.paklinks.com/gs/showthread.php?p=3690467#post3690467
(Qabeela Bani Tay ka sardaar Hatim, jo apni fayazi ki wajah say mashhoor thha)