Toxic Fazal...

Re: Toxic Fazal…

Baja farmaya janaab nay,

MQM ya kisi bhi aur lasaani group ko filhaal ignore kiya gaya hay, iss key eak wajaah tu maiN uper bayaan ker chuka hooN… dosri wajaah bhi sun laiN… hum sub kay peer, peeran-e-peer janab Altaf hussain, itnay baRay peer haiN kay unhay la’muhala aaj ka Hasan Bin Sabah kaha ja sakta hay, un kay shr say laRnay kay liya baqaida planning aur fouji taqat key zaroorat hay.

aur iss kay bawajood unhay kyoN ignore kiya ja raha hay, tu sun laiN, France attacks kay baray maiN aur PaRh hi chukay hooNgay, farz karaiN eak aur 9/11 type attack kaheen ho jata hay, tu konsa mulk hay jahaaN Mazhabi terrorist ko Adaltain Free ker raheeN haiN???

issay iss taraah bhi samjha ja sakta hay kay app kay gher maiN do probelms haiN, eak kamray ka bulb fuse ho gaya hay aur dosray kamray maiN aah lagee hay tu app bulb laynay jayaiN gaay ya sub kaam choR ker aaag bhujayaiN gaay… kyoN kay aag app kay saath saath app kay paRosi kay gher ko bhi lapaiT lay lay gee