*tossay nainaa laagay, piya saNwaray…
naheeN buss maiN ab ye, jiya saNwaray,
mohabbat tau ek, javedaaN zindagi hai
mohabbat tau ek, javedaaN zindagi hai…
tossay nainaa laagay, mili roshni…
tossay mann jo laagay, mili zindagi,
mohabbat ki hai daastaaN zindagi…
mohabbat na ho tau kahaaN zindagi,
mohabbat tau ek, javedaaN zindagi hai
mohabbat tau ek, javedaaN zindagi hai…
shama ko pighalnay ka, armaaN kyuN hai?
pataNgay ko jalnay ka, armaaN kyuN hai?
issi shauq ka emtehaaN zindagi hai…
mohabbat jissay bakhsh de zindagani…
naheeN maut par khat’m uss ki kahaani.
kaisse jiya jai, kaisse jiya jai…ishq bin
kaisse jiya jai, kaisse jiya jai…ishq bin
naheen koi insaaN, mohabbat se khaali…
har ek rooh pyaasi, har ek dil sawaali…
mohabbat jahaaN hai, wahaaN zindagi hai…
mohabbat na ho tau, kahaaN zindagi hai…
tossay nainaa laagay, mili roshni…
tossay mann jo laagay, mili zindagi,
mohabbat jissay bakhsh de zindagani…
naheeN maut par khat’m uss ki kahaani.*
PS: Dedicated to all guppies.