Timepass

Re: Timepass

**aaaaaaaaawwwwwww…kia huaa ji? dushmanoN kii nazar lag gai na? :frowning: ab aaraam kareN phir…Khoob liquid peeyeN aur Dher saaraa aaraam farmaayeN…ek do tylenol bhii cake meN mix kar ke khaa leN :smiley: **

Re: Timepass


thankoo...yeh dil waaloN kii dilli hai ek taraH se...Khoob jamti hai...Khoob chhantii hai...lutf aataa hai :)

Re: Timepass

bus nap lia uthi to flu hogya aur ye summer flu bara manhoos hai :(

Re: Timepass


haN sachchii...jaise, jism se jaan nikaal letaa hai yaa phir saaraa araq nichoR letaa hai to kamzorii balaa kii ho jaatii hai :(...laayeN merii abndooq maiN ise aaj maar hii Daaltaa huN :D

Re: Timepass

AOA everyone :D

Re: Timepass

:wsalam: Mujhey aaj palace jaana hai royal wedding attend karney kay liye. :chai:

Re: Timepass


wa'laikum assalaam...kaisi haiN? midnight brunch le liyaa? :)

Re: Timepass

bin bulaye wedding crasher :stuck_out_tongue:

Re: Timepass

Sab Kate aur William khi shaddi dekh nay k liye jag rahe hai?? !!! YAY!!!

Re: Timepass

Kate yeh ga rahi ho ghi....

ho main to bhool chali babul ka desh
piya ka ghar pyaara lage
koyi maike ko de do sandesh
jaake maike ko de do sandesh
piya ka ghar pyaara lage

Re: Timepass

nahi mai nay to kafi long nap lia isliye jaag rahi ho :chai:

Re: Timepass

:D

Re: Timepass

yeh aap say hee seekha hai. :hehe:

I am working today. :snooty:

Re: Timepass

:hehe: mai wasay pahlay yehi kahnay lagi thi .. phir socha apni tareef na hi karo to acha hai :snooty:

Re: Timepass

Nahi, nahi aaj toh keh rahay thay k federal holiday hai england mein…shaddi ki wajah say!

Re: Timepass

itnaa lambaa nap!!!..ab kia rat-jagaa kareNgii? moHalle waale tang aa jaayeNge :smiley:

Re: Timepass

nahi sojaoo gi thori dair mai:(

Re: Timepass

khoob pehchana. ;D

Holiday hai lekin kaffi businessess khulay hain. yeh boring shaadi dekhnay kee bhajiye kaam hee achha.

Re: Timepass

nahi nahi eb ap zaroor jaye balcony mai akar kate nay ap ko hi dhoondna hai :hehe:

Re: Timepass

mein soch hi rahi thi kaheen camera mein aap nazar aayein :wink:

brunch to nahi liya CNN ki live coverage dekh rahi hoon :smiley: