Qanoon kay haath buhat lambay hotay hain.....

Re: Qanoon kay haath buhat lambay hotay hain…

Aik dafa maiN Pakistan ke aik Departmental Store mai kuch khareedney gaya tha. MaiN cheezeiN ley hi raha tha ke aik Qanoon ka agent aaya Weekly shopping karne. Uss ko kuch items nazar nahi aaye aur dukaandaar se poocha. Dukaandaar ne socha paise to milne nahi, kyoo na khatam ho gaye hain ka bahana banaya jaye. To jaise hi dukaandaar ne apni baat khatam ki, wardi waley ne haath lamba kar ke dukaandaar ko side mai kiya aur kuch hi dair mai items dhoond liye. Tab mujhe yakeen ho gaya ke Qanoon ke haath wakey hi lambey hotay hain :hehe: