Re: Timepass
oh oh…ab kaisa hai galaa? agar dard ho to kisii se dabvaa leN
Allah kare jald Theek ho jaayeN…aameen…take lots of fluids and strepsils ![]()
maiN Dance karuuNgaa to building hill jaayegii…log samjheNge zalzala aa gayaa
Tsunamii kaa intizaar karne lageNge ![]()
**shaadii Khaana barbaadii hai…maiN to shaadii shuda logoN kii zaindagiyaaN dekh kar samajh gayaa huN…yeh yaad rakkheN k:
-jo Ghalati kare aur usse koi sabaq na le vo aHmaq kahlaataa hai
-jo Ghalatii kare aur usse sabaq Haasil kare vo 'aqlmand hotaa hai
-jo dusroN kii Ghalatii se sabaq le vo daanishwar kahlaataa hai
so, maiN ne dusroN kii GhaltiyoN se sabaq seekhaa hai to mujhe aap kia kaheNgii?
**
**haN saHeeH kahaa…anDe kaa koii time nahiiN magar:
savere savere anDa khaayaa jaaye to brain ko lagtaa hai aur agar raat ko khaayaa jaaye to jism ko lagtaa hai :D**