Re: Timepaas
Re: Timepaas
mere pass tu theak load ho raha hay ![]()
Re: Timepaas
Tarq-e-ta'aluq
Tum hi batao jana'n
Kya you'n tarq-e-ta'aluq ho jata hai
Zehn-o-dil ko sirf ana k hatho'n girwi rakh dene se
Khud ko apne kamre mein band kar lene se
Bain kare'n jab yadein
Rishto'n ki mayyat pe ro lene se
Tum hi batao jana'n
Kya you'n tarq-e-ta'aluq ho jata hai
Ankho'n k chogardi halqay
sare raaz ugal dete hain
Sari khushio'n k sapne
Apne apne rastay lete hain
Tarq-e-ta'aluq aise thori ho jata hai
Wasl k lamhay
Hijr k barso'n ko lotanay partay hain
Aur khushio'n k lay palak bachay
Wehshi ghum k panjo'n mein dene partay hain
Naam-e-wafa pe
Jitni jhooti qasmein khaee'n
Un ka bhi kaffara dena parta hai
Bus khat wapis kar dene se
Ya tohfay wapis kar dene sy
Tum hi batao jana'n
Kya you'n tarq-e-ta'aluq ho jata hai.
Poet:Yaseen Shahi
Re: Timepaas
pata nai pir wat happened :bummer:
Re: Timepaas
Achi nazm hey IS…lekin khaasi sad ![]()
Re: Timepaas
*Kai badnamia'n hoti , kai ilzam sar jatey
Magar ae kash ham dono'n hamee'n dono pe mar jatey
Agar tum khab hotey to tumhe aankho'n mai rakkh letey
Na goya neend se phir jagtey hatta k marr jatey
Agar hum roshni hotey to phir ahsas ki lau se
Zamee'n ko chhorh detey mill k dono'n chand par jatey
Agar tum phool hotey to tumhari khushboo mein rehtey
Samandar ki tarah hotey to ham tum mein utar jatey
Hamarey khal-o-khadd kaise hain ye ab tak nahi dekha
Agar tum aaina hotey to hamm kitney sanwar jatey
Tumharay husn pe pehra hamaray ishq ka hota
jwa'n rakhtay sada tum ko agar lamhay theher jatey
Agar sooraj hi hotey to phir apni dhoop ki surat
Wajood-e-yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatey.*
Re: Timepaas
Bahut umdaah, bahut khoobsurat nazam hai IS … :k:
Re: Timepaas
http://i51.tinypic.com/2hduo1i.jpg
*Raah-e-wafa mein jab na koi mila saka humein
Hum saath saath apne hi saye ke chal deye …
Re: Timepaas
aaj kal main khud e sad sad hon na is laiye ![]()
Re: Timepaas
*Waqt har cheez ka imkan badal sakta hai
Ain mumkin hai tera dhyan badal sakta hai
Zindagi mein hai faqat teri muhabbat ki kami
Tu meri zeest ka unwan badal sakta hai
Ab teri yaad to is dil se nikalney se rahi
Apni taqdeer kab insan badal sakta hai
Hum faqat wasl k qaail to nahi chahat mein
Kab hame’n hijr ka toofan badal sakta hai
Le k phirta hai tere ghum ka hawala shahi
Tu jo chahey to yeh pehchan badal sakta hai*
Re: Timepaas
…
Re: Timepaas
aaj kal main khud e sad sad hon na is laiye
Mere bhai khush raha karain ...
Re: Timepaas
*Be wafai se pareshan bhi ho jatey hain
Narm jhonkey kabhi toofaan bhi ho jatey hain
Hum ne mehboob jo badla to ta’ajub kesa
Log kafir se musalman bhi ho jatey hain
You’n to ik dard ka rishta hai zamaney bhar se
Log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
Shehr bhar ko main muhabbat to sikha du’n lakin
Khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
Hum to purkho’n ki riwayat ko nibhaney ki liye
Hurmant-e-ishq pe qurban bhi ho jatey hain
Hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
Rastey pyar k aasaan bhi ho jatey hain.*
Re: Timepaas
Waah lagtha hain ke aaj mehfil bohat garam hogaye hain… kuch thanda hazir karoon ![]()
Re: Timepaas
Waah lagtha hain ke aaj mehfil bohat garam hogaye hain
Jee haan, IS bhai mehfil per chaye huwe hain aaj ... :)
Re: Timepaas
i try but …
kher its part of life
Re: Timepaas
Koshis naheen Tameer hogee… ![]()
Waissay haar waakht ghum karna acha naheen… kabee kabee apne aap ko kisee par lutha do… ghabrana naheen aaj kal police kuch naheen karthee ![]()
Re: Timepaas
ok dostoo ab mere jane na vaila a gaya
Duaoon main yaad rakhiaye ga
do take care alot all of you
b happy n keep smiling always
ALLAH HAFIZ
shab-ba-kher
fe amaan ALLAH
Re: Timepaas
http://i53.tinypic.com/2nsrt3p.jpg
*Mein zindagi se mayoos nahe lekin
Jab us ne mujh se poocha ke
Tumhare nazdeek kya hai eham
Meri zindagi
Ya
Tumhari zindagi
Mein ne kaha ke
Meri zindagi
Yeh sun kar woh mujhse bahut door chali gae
Yeh bhi na socha ke wohi tau hai
Meri zindagi …