Timepaas

Re: Timepaas

**Aaj ki Taza khabar

TasweeraiN bolti haiN maiN ehsan sahib jo k vice president of paklinks haiN unhoN ne Closed thread ko toRne ki himmat ki aur kaamyaab ho gaey
sab cheezaiN apni apni jagah pe maujood haiN lekin jatay sam'ey woh apna reply chhoR aaey haiN..aur hairat ki baat ye hai k jaatay waqt Taala khareed ke laga diya hai
joonhi wuh Timepass k studio maiN tashreef laaey unsay mazeed tafseel poochhi jaae gi

:-d**

Re: Timepaas

aap kaheiN to kal bhi try karooN gi :smiley:

Parhti jo nahiN :bummer:

Re: Timepaas

Buss woh kiya hai kay eik chaabi meray pass bhi hai. :blush:

Re: Timepaas

MM kay saath ziadatee hai. becharri kay saath wohi ho raha hai joh Libya mein Gaddafi apni awam kay saath ker raha hai. Toh yahan gaddafi kaun hai. :hmmm:

Re: Timepaas

ham nai khailte :naraz:

Re: Timepaas

mai tu kehta hon k pora week balke pora month dour rakhian :@:

Re: Timepaas

ik chabi baqi members ko b de dain :@:

Re: Timepaas

Aur aap ki chaabi har chaabi sey ziaada powerful hey :smiley:

Re: Timepaas

aap wuh chaabi kahaN rakhtay haiN kuch iss pey bhi roshni daaliye na :-p

Gaddafi jo kar raha hay uss say awaam ka konsa bhala ho raha hai…MM k saath jo ho raha hai uss maiN yaqeenan usska bhala hi hoga :cb:

aap pe bhi Jald koi khabar post karooN gi don’t worrie :smiley:

Ab maiN itni zaalim bhi nahiN huuN …aaj nahiN tou kal aap ko uski roni.. Masoom soorat dekikhany ko milay gi :~)

Re: Timepaas

salaam...idhar se guzar rahaa thaa to sochaa ek adad salaam hii daaGhtaa chaluuN :D

Re: Timepaas

w'alaikum usalaam
jawaab bhi letay jaaiye :-d

Re: Timepaas


Khaalii Khooli jawaab? yeh bhii kanjoosii kii intihaa huii...are baba salaam kaa jawaab salaam ke saath do chaar qalaqand ke pieces bhii lapeT ke bhej detiiN...kar bhalaa, ho bhalaa! :D aaj qalaaqand khilaao, kal milk cake khaao :D

Re: Timepaas

Khali haath aaey thay..issliye socha jaatay samay kuch wazan na ho :cb:

Ghar say kha k nahiN aaey ?

Re: Timepaas

ab jab apnaa ek 3 man kaa vazan uThaaye ghoomtaa huN to ek do kilo vazan cheh ma’nii daarad? ab bahaane banaanaa to koii aap se seekhe :smiley: ghar meN paanii mil jaaye vohii bahooot hai kujaa ta’aam o Khurd o nosh kaa raKht e safar??? :smiley:

Re: Timepaas

yeh raaz kee baat hai.

Mein MM kee rahayee kay liye GS kee fauj tayyar ker raha hoon. :emmy:

Re: Timepaas

kal 2 kilo ka kuch laaiye ga phir ..jaatay waqt ham bhi kuch kilo pakRa daiN ge :-p

karaiN ji … agar koi tayaar huwa to bataiye ga :cb:

Re: Timepaas


*kal kis ne dekhaa hai G-e-T...abhii kareN jo aaj karnaa hai...vaise...miThaaii kii baateN hii kar kar ke meraa peT bhar gayaa :D
*

Re: Timepaas

Khanay k ba’d ki Dua paRh laiN :cb:

Re: Timepaas

lunch kaa time sirf 2 ghanTe door hai aur khaanaa meri dast-ras se koii 5 km door hai…kia sitam hai…kia laachaarii hai…kia kas-ma-pursii kaa 'aalam hai…haaye re, insaan kii majbooriyaaN :frowning:

Re: Timepaas

lunch 2 ghantey door hey to matlab breakfast ko guzrey huwey bhi taqreeban itna hi time huwa ho ga…KKF kuch Khuda ka khaof kareiN… aap kaheiN Lahori to nahi heiN? :cb: