Timepaas

Re: Timepaas

acha :@:

Re: Timepaas

Muskaan bachey ‘mosam’ kesa chal raha hey aaj kal? :wink:

Re: Timepaas

salaam yaaraan-e-Timepass, kia Haal haiN? kal to yahaN zabardast barfeela toofaan aa rahaa hai…shaayad ghar pe hii rahnaa paRe :smiley:

Re: Timepaas

toofan mubaarak Khalil bhai :slight_smile: … wesey aap khud kon sey kisi toofaan sey kam heiN :wink:

Re: Timepaas

lol…kia point nikaalaa hai…vaise, toofaan koi burii balaa nahiiN…ek din kii chhuTTii hii dilaa detaa hai…thank you toofaan ji :slight_smile:

Re: Timepaas

to phir chutti ka kya program bana rahey heiN khalil bhai…???

Re: Timepaas

**plan zabardast…barf kii safaaii :smiley: jaan levaa! :smiley:
**

Re: Timepaas

aap bhi kamaal kartey heiN…koi thandi-thaar ghazal hi likh chorreiN…toofan ki aamad, aamad hey… lutf dobaala ho jaey ga :slight_smile:

Re: Timepaas

are miyaaN, “aamad aamad” se pahle barf dekh ke “jaamad jaamad” hai :omg:

Re: Timepaas

AOA :wave:

Re: Timepaas

w salaam UZ bhabhi…kaisi haiN? :smiley:

Re: Timepaas

mein to theek hoon bachay beemar hain :smiley:

Re: Timepaas

**
aaaaaaaaawwwwwwww…kia huaa? mausam ka asar? unko bas tylenol vaGhaira de kar aaraam karvaayeN aur Khoob clear fluids pilvaayeN…iA, kal parsoN tak ikdam Theek ho jaayeNge. :slight_smile: mere apne bachche nahiiN to kia huaa par pataa sab hai me ko :D**

Re: Timepaas

haan mausam kaa hi asar hai :smiley: haan ji pata hai aap key bachey nahi hain magar aap kaa dil bohat hai ke aap ke bachay ab ho jaayein :hehe:

Re: Timepaas

:salam: subah subah garam garam :chai: ho jaye. mein zara :cobra: ka kush laga loon.

Re: Timepaas

waah…merii koii baat samjhaa to naaseH samjhaa…ab isii baat pe koi talaash bhii deN…kia Khoob janegii to mil baiTheNge mere bachche 3 darjan :slight_smile: :smiley:

Re: Timepaas

AOA kia ho raha hi:barbie:koe hay

Re: Timepaas

:salam: dosto :slight_smile:

Re: Timepaas

:wsalam:
App sb Jite rahien khush rahien :slight_smile:

Re: Timepaas

Wah IS, aap ney to aek hi jhatkey meiN sab ko faarigh kar dia :slight_smile: