Re: Timepaas
soondi mile gi
?
Re: Timepaas
soondi mile gi
?
Re: Timepaas
main sadkay
kya karni hai???
Re: Timepaas
*Suno ...
Ay ajnabi tum se
Muhabbat tau humein bhi thee
Magar
Hum keh nahe paaye
Suno ...
Kyon keh nahe paaye
Laboon pe khauf ke taalay
Nigahoon mein bujhe jugnoo
Pari paaon mein zanjeerain
Dikhai jo nahe daiti
Magar
Do qadam chalne ki bhi
Taaqat cheen laiti hai
Sukhan taaseer se khaali
Ke jazbay khoklay saare
Na-jane munjamid
Kyon hogaye thay hauslay sare
Magar
Sach hai haqeeqat hai
Humein tum se muhabbat thee
Humein tum se muhabbat hai ...
*
Re: Timepaas
Woh pehli mulaqaat mujhe yaad hai ab tak
Jab dil ko dharaknay ka saleeqa bhi nahe thaa ...
*
Re: Timepaas
*
Hum ne aise ujjaar di jaise
Zindagi baap ki kamai ho ...
*
Re: Timepaas
Tu jaanta nahe meri chaahat ajeeb hai
Mujh ko mana raha hai kabhi khud khafa bhi ho
Tu bewafa nahe magar bewafai kar
Us ki nazar mein rehne ka kuch silsila bhi ho
Path-jhar mein tootay huwe patton ke sath sath
Mausam kabhi tau badlayga yeh aasra bhi ho
Chup chaap us ko beth ke dekhoon tamaam raat
Jaaga huwa bhi ho kuch soya huwa bhi ho
Us ke leye tau mein ne yahan tak duaein kee
Meri tarah se ussay koi chaahata bhi ho ...
*
Re: Timepaas
Koi jab muntazir hi na ho tau rabta acha nahe lagta ...
*
Re: Timepaas
*
Re: Timepaas
*Chup chup rehna kuch na kehna
Yeh bhi ek udaasi hai
Hans ke sare sadmay sehna
Yeh bhi ek udaasi hai
Baithay baithay khoo sa jaana
Unhi door khayaloon mein
Chalte chalte hanstay rehna
Yeh bhi ek udaasi hai
Dil ki baatain sun kar hansna
Yeh tau sab ki aadat hai
In baatoon pe hanstay rehna
Yeh bhi ek udaasi hai
Maar ke kan'kar lehrain gin'na
Baith ke jheel kinaray per
Kuch logoon ka hai yeh kehna
Yeh bhi ek udaasi hai ...
*
Re: Timepaas
Very new and amazing khayal ![]()
Re: Timepaas
Kitna maasoom sa sheir hey :)
Re: Timepaas
Mardaan noo koy yaad karda awkaay sowkaay velaeh,
Maard vengarain kadee na harein baangun sher bharedien.
Restored attachments:
Re: Timepaas
Kitna khoon’khuwaar sheir hey ![]()
Re: Timepaas
Faris bhai aap ko aur kuch nahi mila tha? :@:
Re: Timepaas
Great ghazal Arif
k:
Re: Timepaas
Ye nazm bhi khoob rahi
k:
Re: Timepaas
Kitna khoon'khuwaar sheir hey
Maaf karna meray bhai... mera tho aysah hee nizam akhsar raha hain... :(
Faris bhai aap ko aur kuch nahi mila tha?
Jee han aap ka bohat shukriya. :@:
Re: Timepaas
itni cheeekhiaN gain tu sheR bhi a jaiey gha pijjRay se :p