Timepaas

Re: Timepaas

Bohat khoob Arif :k:

Re: Timepaas

*~..MohAbBat iS tRha choRa nAhi kARtY...~

Taaluq is tarha tora nahi kertay..
K phr say jorna dushwaar hojaye..
Hayaat ik zehr mYn doobi howi talwaar hojaye..

"MOHABBAT is tarha chora nahi kertay"..

Khafa honey ki rasmain hYn..
Bigarnay k tareekay hYn..
Rawaj-o-rasm tark-e-dosti per so kitaabain hYn..
Rawadaari ka hargiz rasta chora nahi kertay..

"Taaluq is tarha tora kertay"..

Kabhi bulbul guloon ki khamoshi say rooth jati hay..
Per aglay saal sab kuch bhool ker phir lot aati hay..
Sabhi bhanwroon ko gul harjaai kehtay hYn..
Magar thori si zidd k baad bandhan khol detay hYn..
Kabhi podoon say pani door ho jaye..
To hamsaya darakhtoon k haath paighamat jatay hyn..

"MOHABBAT mYn sabhi ik dosray ko aazmaatay hYn"..

Mager aisa nahi kertay..
Ke har umeed har imkaan mit jaye..
Kahan tak khainchni hay dor ye andaza rakhtay hYn..

"Hamesha chaar deewari mYn ik darwaza rakhtay hYn"..

Judai mustaqil hojaye..
To ye zindagi zindaan hojaye..
Ager khushboo hawaoon say marasim munqataa ker lay..

"To khud main doob ker be-jaan ho jaye"..

sunoo.......!!!!!!!!!
Jeenay say moun mora nahi kertay..
MOHABBAT is tarha chora nahi kertay..*

Re: Timepaas

per saaat saal mai ne GS per/GS k sath guzare hain :eek: saat saal :eek:

Re: Timepaas

Hmmm…isi leeye to GS is the best buddy :slight_smile:

Re: Timepaas

Lekin bacha sehma huwa kyun hay?

Re: Timepaas

yep
jis k sath sulah b hoti hay larhai b :@:

Re: Timepaas

Terrific :k:

Re: Timepaas

Umda nazam hay IS.. awesome infact :)

Re: Timepaas

kyo k bache k shadi hay is saal k end pe is laiye :blush:

Re: Timepaas

Shaheed hone jaa raha hey :cb:

Re: Timepaas

Thanks both of you :@:

Re: Timepaas

Hmmm...yaari, dosti meiN sab chalta hey :)

Re: Timepaas

Acha IS mujhey to aap invite bheijna nahi bilkul :nono: … KiuNke jo maza bin bulaaey shaadi meiN jaaney kaa aata hey, wo invitation pe jaaney ka nahi hey :omg:

Re: Timepaas

ji esi laiye tu jb b naraz ho kar gaya tu zaida arsa dour nai reh paya is se :@:

Re: Timepaas

aaap islamabad main meri shadi ka function talash karte reh jain ge pir :@:

Re: Timepaas

Phaddey to hum ney bhi daaley heiN...lekin..ba'qaol Parveen Shakir ke: "jab bhi gaya, laota to merey paas aaya..." :)

Re: Timepaas

Dhoondney waaley qayaamat ki nazar rakhtey heiN ;)

Re: Timepaas

IS.. shadi kay bad aap poetry section main kam, life and relationship main ziyada nazar aaya keraingay... heina :)

Re: Timepaas

true for me as well :@:

Re: Timepaas

WahaN to ye abhi bhi ja rahey hoN ge.... ;)