Timepaas

Re: Timepaas

[QUOTE]
Teri qurbat kay lamhay phool jaisay
Magar phooloN ki umaraiN muktasir haiN..
[/QUOTE]

Inaam meiN sad sheir....bohat aala :(

Re: Timepaas

salaam alaikum ... kaise haiN sab log? :D

Re: Timepaas

:wsalam: Khalil bhai..aap sunaiye kesey heiN??? :slight_smile:

Re: Timepaas

Acha aisa kerain hamari teraf aa jayain, chai ka maqool intizaam hay.. (jaisay pakistan main likha huta hay,perday ka maqoolintizaam hay) hahahaa

Re: Timepaas

KKF..... kaisay hu bhai? Tabiyat kaisi hay? meray honey walay nuskhay per amal kiya tha?

Acha khair hamari teraf tu sub baraf pighal gayee, apki teraf kiya haal hay?

Re: Timepaas

KKF ke "pahaarroN pe abhi barf jami hey" :)

Re: Timepaas

sirf chai sey guzaara nahi ho ga... koi kukkarr, shukkarr...koi chargey churghey...koi naan shaan...koi lassiyaN lussiyaaN....and waghera waghera ka intizaam bhi kar leiN :D

Re: Timepaas

Lassi banni hui hay, aap ayaiN.. baqi ashiyaa ka bhee intizaam foran hu jayeegah.. worry not! kashmiriyooN ko khanay kay ilawa aata kiya hay.. lol

Re: Timepaas

**haN ji…Allah ka karam hai k ab tabii’at 75% bahtar hai.

ek taraf pighal rahi hai barf dusri taraf se barfbaarii kii jaaN-kaah Khabar sunaa sunaa ke moHakma e mausamiyaat waale Daraa rahe haiN…kal is waqt tak ham log apne ko barfeelii KHandaq ae khod khod ke nikaal rahe hoNge…abhii 4-5 hours ke andar barfbaarii shuruu hone waali hai :omg:**

vahaN to Khair jami hii jamii hai magar mere sinus ke chamber aur naak men bhii jamii hai ba soorat e balGham…:smiley:

Re: Timepaas

Aana hi parrey ga, warna to aap khud hi sab khaa pi ke beitth jaeiN gi :omg:

Re: Timepaas

kashmiran ke naam se ronaa aataa hai…bas uskaa naaam na lo mire aage :smiley: :frowning: haha

Re: Timepaas

KKF yeh jankah khabbar kyun sunna di humko.. do ghari ki khushi bhee berdasht na hui aap say hamari.. ham tu abhi dhoop say lutf-andooz hu rahay haiN.. anay do baraf ko, humain bhee khandaqain khodnay ka tajurba hu chukka hay..

Re: Timepaas

Issi liye keh ri hoon, aa jayaiN yeh na hu murghay ki hadiyooN ka haar millay apko inaam maiN :smiley:

Re: Timepaas

:omg: at “murGhe kii haDDiyoN kaa haar”…lapak lo miyaaN…yehii haar ek din gajraa banegaa :smiley:

Re: Timepaas


**waah ji, waah...ab to mannaa paRegaa k:

himmat-e-aurtaaN, madad e Khudaa :)

haN jii, aane deN...dekh leNge!!!** :D

Re: Timepaas

Kiya apki Fakhti bhee kashmiri thee? :(

Re: Timepaas

are na poochheN…ek thii class meN…mashaa Allah…Kashmir se thii to zaahir hai Allah ne use baRaa navaaza thaa…ham sab ummeedvaar the…sab chai use pilaate rahe 2 saal tak…phir :omg: ham sab rote rah gaye [44 laRke] aur us ne hamaare Professor saaHab se shaadii kar li aur FIRST Division meN paas bhii ho gai :smiley:

Re: Timepaas

Aayee hayee.. bus ji qismat apni apni.. prof ki qismat kay taray urooj per thay!

Re: Timepaas


haN us waqt thaa...abhii kaa pataa nahiiN...ho saktaa hai ab "taare zameen pe" aa gaye hoN...sunte haiN k aksar aisa hii hotaa hai :D

Re: Timepaas

:crying: :crying:
:crying: ___/:crying:
:crying: :crying::crying:
:crying: :crying:
:crying: :crying:

  ________