*Tumhein mujh ko sataana hai
Chalo jee bhar ke tang kar lo
Ke yeh bachoon ki aadat hai
Khilonay haath mein ho tau
Zara bhi dam nahe letay
Magar thehro
Kabhi aisa bhi hota hai
Issay bhi zehan mein rakhna
Zara se be-dheyaani mein
Zara se be-khayaali mein
Inhain zeyaada satao tau
Yeh aksar rooth jaatay hain
Khilonay toot jaatay hain …