*
**Hai yaad mulakaat ki woh shaam abhi tak
Mein tujhko bhulanay mein hoon nakaam abhi tak
Aa tujh ko dikhaun ke tere zaad ay sitamgar
Weeraan pare hain yeh dar-o-baam abhi tak
Gar tark-e-ta’aluq ko huwa ek zamaana
Hontoo pe machalta hai tera naam abhi tak
Mehsoos yeh hota hai ke woh hum se khafa hain
Kya tark-e-muhabbat ka hai ilzaam abhi tak
maikhane mein bhoolay se chale aye thay ‘Mohsin’
Ehbaab ki nazroon mein hain badnaam abhi tak …**