...haan un-mitt nuqoosh aur yaadain zaroor hain saath mere ...
RafaaqatoN ki adam-dastiyaabi ke daor meiN yaadeiN bhi aek saath ka kaam karti heiN... sahi waqt ka intizaar kijeeye Arif bhai ... har kisi ka sahi waqt aek din zaroor aata hey ... keep moving :)
***Yeh safar nahe azaab hai
Yahaan har kisi pe naqaab hai
Yahaan bad-gumaani ka raaj hai
Yahaan be-wafai riwaaj hai
Abhi hosh khonay ke din nahe
Abhi tere ronay ke din nahe
Abhi waqt hai mujhe chor jaa
Abhi sari nagri andhair hai
Abhi din nikalnay mein dair hai
Abhi behr-e-ishq mein na uttar
Abhi shehar sara hai be-khabar
Abhi waqt hai mujhe chor jaa