Timepaas

Re: Timepaas

Pakistan mein to is waqt raat ke 2:30 am ho rahay hian logo ko uttha ker kaya kerna :chai: Yahaan hai tea time

Re: Timepaas

aap kaisee CM hain, aap kay timepass mein hum aien aur aap nay :chai: tuk nahin poochee. Koi samosay, mithai, ras malai. :yummy: Kuch bhi nahin. :nahi:

Re: Timepaas

aur yahaN 4:43 pm…meri afternoon tea time…sab Haazir kiyaa jaaye…taKhliya! :smiley:

Re: Timepaas

aap zaroor aayein mein aap ko paaye bhi khilaaon gi :smiley: And saaray chai ke items bhi and english tea pilaoon gi :smiley:

Re: Timepaas

yeh lo virtually chai poochna bhi bohat asaan ahi :D

Re: Timepaas

baRii mazedaar chai...shukria...kaise banaayii? waah! :)

Re: Timepaas

lo pani kettle mein dala carnation, pani cup mein and tetley tea bag saath mein dala , dam diya ,carnation milk dala and ready sugar aap ney daal li ho gi

Re: Timepaas

acha.

Re: Timepaas

India bhii uTh baiThaa...naashta lagaao bhai :)

Re: Timepaas

mere khyal mai india late uttha…ab nashta chorrain or dopahar ki fikar karain :snooty:

Re: Timepaas

**
maiN banaauuN k aap banaayeNgii? main banaauuNgaa to daal aur chaawal milegaa…aap banaayeNgii to biryanii aur qorma milegaa…to faisla kijiye k kaun banaaye :)**

Re: Timepaas

kis ne mere sughrrape ka pol khol dia...koi bat nhi mai daal chawal b shoq se kha leti hun.

Re: Timepaas


**
achchhaa...chaliye maiN aapke liye daal chaawal banaa detaa huN magar mere Halaq se nahiiN utartaa is liye mere liye plz qorma biryaanii banaa deN...nekii ka badla nekii :) hehe**

Re: Timepaas

mujhe nhi pata ab mai ye ap ki masoomiat ginun ya nadani ya ap mere munh se sach sun-ne pe tulle huey hain…mujhe chaye k siwa kuch nhi bana ata,isliye itni barri barri fermaishain ker k na sherminda karain or na hon.shukriah :snooty:

Re: Timepaas

**
achchhaa Theek hai…chaliye ham pizza order kar dete haiN…amal bhai…do pizza bhijvee deN plz…bill Shazia Ji ke naam bhej deN :wink: haha**

Re: Timepaas

Aap jesey dostoN ki karam-farmai ki waja sey mujhey apney pizza ki dukaan band karni parr gai hey. Dukaan aur udhaar, donoN band :(

Re: Timepaas

Subha-Bakhair duniyaa waloo...

Re: Timepaas

Subha aur shaam donoN bakhair :)

Re: Timepaas

Salam sab ko :)

Re: Timepaas

:wsalam: waleedhbk … how are you?