Timepaas

Re: Timepaas

to aap challenge ker rahey hian ke mein is sher kaa matlab nahi jaanti :snooty: tehrein mein aa ker 5 minute mein batati hoon

Re: Timepaas

hahaha…kia DanDa le kar aayenGii mujhe “samjhaane” ko? :wink: :smiley: aaiye aaiye, jab okhli meN sar de diyaa to dhamak se kia Darnaa :slight_smile:

Re: Timepaas

koi chai pani ka bandobast hai yahan ya phir bas bataoon par he tarkhaAya ja rha hai. :naak:

Re: Timepaas

xenooooo :naraz: just talkein for u :wink:

Re: Timepaas

bheeeegiB.. :flower: kia haal chaal hain? roooti bachi kahan hai? :hmmm:

Re: Timepaas

i dont know kahan ghayab hai
m fine wat abt u ?

Re: Timepaas

**
aaiye aaiye janaab, welcome shelcome…ab yahan sef serve mahmaan navaazii hai…vo chholhaa hai…apnaa pakaayeN khaayeN…is camp kii zindagii sipaahiyaana hai :smiley:
**

welcome BheegiYaadeN…lol@billii :smiley:

Re: Timepaas

aayein chai piyein and baatein karein and agar ho sakay to sher waghiara bhi jhaarein :smiley:

Re: Timepaas

shaiKh saaHib, Khuda se Darte ho?
maiN to angrezoN se hii Dartaa huN!
Akbar Ilahbaadi patition se pehlay ke shaiir hain and goray se nafrat kernay waley :wink: Us waqt ke halaat hi aisay they, any way woh is sher mein kaafi gehra tanz ker rahey ahin un logo per jo musalman hain and goron se darr ke un ki ghulami kertay rehtay haiN (you know hypocrites or people with double standards).Sheikh to eik zaat hai but unhon ney simile ke liye use kiya hai ke "Sheikh Sahib Khuda sey to tum dartay nahi magar angerezon se bohat dartey ho.:smiley: I think I am right :bummer:

Re: Timepaas


**
hahaha...yahaN kii population mashaa Allah abrh rahii hai...aapkaa chai Khana inshaa Allah Khoob chalegaa...vaise, mere diye gaye she'r ka matlab kidhar gayaa? :D**

Re: Timepaas

^ooper dekhien :chai:

Re: Timepaas

**
oh waah, sorry maiN ne aapkaa jawaab dekhaa thaa…aapkii tamheed saHeeH hai magar nateeja jo nikaalaa vo shaayad mauzooN nahiiN…mere Khayaal se is she’r meN chuN k vo angrezoN kaa daur thaa jis meN desi log Dare, sahme huye rahte the magar is she’r meN unhoN ne angrezoN par choT kii hai. kaise? is taraH k unhoN ne kaha k ai ShaiKh saaHab aap Khudaa se Darte haiN? ajeeb baat hai! ek musalmaan ko to Allah se muHabbat karnii chaahiye aur shaitaan se Darna chaahiye…phir farmaate haiN k maiN to bhai angrezoN se Darta huN goyaa angrez shaitaan haiN…to, dabe alfaaz meN goroN ko shaitaan kah diyaa…saaNp bhii mar gayaa aur laaThii bhii nahiiN TooTii…goraa samjhaa k Akbar un se Darte haiN ,… lolllzzzz**

Re: Timepaas

Welcome shelcome ji…oey bac’chon … koi chaey, shaey ka parband karo bhai… :slight_smile:

Re: Timepaas

Chai kaa time to khatam ho gaya hai ab kaya khana khilaayein :hmmm:

Re: Timepaas

hello :wave:

Re: Timepaas

Hey Shab :hugz:

Re: Timepaas

uz :hug: kya horha hai.. din kasa guzra?

Re: Timepaas

Din her roz jaisa hi tha :smiley: Kaam kaam aur sirf ghar key kaam :cb: But it was good AH

How about you Shab?

Re: Timepaas

**
din to meraa bhi bahot busy guzraa…kaam kaam aur mazeed kaam…kinne bartan the uffff taubaa hai…kinna sighaR huN maiN amshaa Allah :)**

Re: Timepaas

Mujhe ab bhi shaq hai :ASA: Fakhta larki kaa naam bhi ho sakta hai :D j/k