Timepaas

Re: Timepaas

Main tu buhat he hasash bashah hoon alhamdulillah...

Re: Timepaas

mashaa Allah...tab to...Khoob jamegii jo mil baiThenge crazy do! hahaha :D

Re: Timepaas

Salam Ehl-e-GS

Re: Timepaas

Sheal aap ke aatey hi log bhaag kiuN jaatey heiN? :)

Re: Timepaas

Who said I am crazy...
anyways what part of Ontario are you from? I am from Mississauga...

Re: Timepaas

wa'laikum assalaam yaa Sheal :) how are u?

maiN to bhaagne waaloN meN se nahiiN huN...maiN to bhagaane waaloN men se huN...alHamdolillah :D

Re: Timepaas

isi liyay to main yahan aati nahi hoon :)

Re: Timepaas

W'assalam Sheal.. Kaisi hain aap?

Re: Timepaas

ab bataiyay ap kab bhag rahay hain ?

i am fine alhamdulillah K2F how r u?

Re: Timepaas

K2F? Khalil bhai ye ghaleban aap ka tawaa lagaya jaa raha hey :D

Re: Timepaas

hmmm AOA yahaN koN koN basta hai :P

Re: Timepaas

**aayaa kareN...u ko bhagaane waalaa abhii tak koi paidaa hii nahiiN huaa...jab ho jaayegaa tab na aanaa :D

**

*jab koii "faaKhtii" aa jaayegii to "faaKhta" bhaag jaayegaa :D
maiN bhii alHamdolillah Tik Tok N fiT faaT huN :)
*

koi me ko KKF kahve koi KFK to koi FKK...sab chalegaa sivaaye KKK ke hahaha :D

wa'laikum assalaam...yahan parind baste haiN... "FaaKhta" bastaa hai...aur ab se "Koyal" bhii basne ke liye a gaii :)

Re: Timepaas

Sub bus rahey hain buss aap kee kamee thee. :)

Re: Timepaas

Ji, faakhta to idhar hi kaheiN beitth gai hey abhi thak ke, ab Koyal bhi aa gai heiN :)

Re: Timepaas

ab me ko to ULLOO aur ULLUWAAYIN ke aane kaa intizaar hai :D

Re: Timepaas

Allah :blush: koyal ki kami kitni mehsoos hweui sab ko :slight_smile:

Re: Timepaas

where is masoom muskaan i miss her :(

Re: Timepaas

**
ab yahaN kii poetry kia faaKhta gaa kar sunaayegaa? koyal hii to sunaayegii na…so 1,2,3 chal shur’u ho jaa!**

Re: Timepaas

I am back for a while :D ab zara adbi guftagoo ker li jaaye

Re: Timepaas

**adab...waah, maiN to bahot adabi huN...adab se baat kartaa huN alhamdolillah. :D

Akbar Allahabadi tanz o mizaaH ke liye jaane maane jaate haiN. ham aksar ash'aar paRhte haiN aur use aasaan samajh kar sarsarii guzar jaate haiN magar un par agar Ghaur kiyaa jaaye to us men aapko gauhar e naayaab mileNge. aisaa hii ek she'r Akbar kaa bhii hai jo nihaayat aasaan hai alfaaz o ma'nii ke ai'tabaar se magar matlab nikaaleN to ek zabardast she'r hai...is she'r meN bhii ek zabardast tanz hai. to phir, aap is she'r kaa matlab bataaiye:

shaiKh saaHib, Khuda se Darte ho?
maiN to angrezoN se hii Dartaa huN!**