Re: The Qaafiya thread...
humay hogaya hai aapsay bohot pyaar
Re: The Qaafiya thread…
Dialogue na maroo, lagta hai tum bhi ho Indian film’on kay shikaar
Re: The Qaafiya thread…
lajjo, bhai badal dau naa qafiYaa
abb tau aanaY laggaY chamaar ![]()
Re: The Qaafiya thread…
kyun apni tareef apnay mun kartay ho meray yaar
mausam-e-bahar mein bhi kaanton ka kartay ho intezaar
Re: The Qaafiya thread…
Mujhay yahan par aman hai darkaar…![]()
Re: The Qaafiya thread…
Line pay aa gaye na tum bhi ab jaan-e-bahar
Re: The Qaafiya thread…
maiN nay kiYaa aap ko kuch kaha thaa sarkaar:D
kiouN ho gaYee jal kar bhalaa aap kee battee jarraar ![]()
Re: The Qaafiya thread…
Mujhay agar ziyada bharhkaya, tau khol doonga yahan par khoon kay abshaar…![]()
Re: The Qaafiya thread…
baat dil pe na lein, aap ke saath to game khelna hai bekaar,
jalein hamare dushman, jaanay kis complex ka aap hain shikaar
Re: The Qaafiya thread…
aap toR rahaiN abb rule ko aur kar dee aap nay alfaaz kee takraar
baYkaar bhee istemaal huvaa aur kar chukaY thaY aap istemaal shikaar ![]()
Re: The Qaafiya thread…
shayad bhool gaye aap Mr anwaar, everything is fair in love and war
Jung cherd di hai aap ne, hathyaar daal do warna khao gay seenay pe waar
Re: The Qaafiya thread...
Anyways it was fun talking to u guys
Have to sleep, got work in morning
Warna lateness par manager se parhay gi maar :(
Re: The Qaafiya thread…
bhaaiyoN! maiN ab chaala kaY aa gaYee rajoN kay jamadaar
banaanaY laggay haiN meraa khoobsurat saa ik mazaar ![]()
Re: The Qaafiya thread…
samajh main kuch nahi a riyaaaa
phirr bhi aa riyaa hooN iss thread main baar baar ![]()
Re: The Qaafiya thread...
Aisay raag alap raha hai jaisay gaa raha ho Malhaar...
Re: The Qaafiya thread...
tum kiyaa chahataY ho woh bolaY aisay
jaisaY watan ho uss kaa behaar?
Re: The Qaafiya thread...
Bao Bihari say kaafi arsay sai nahin hua guftaar...
Re: The Qaafiya thread…
sunn rahaa hai woh aaj kal Dr. Israr
Re: The Qaafiya thread...
ho rahi hai abb neend kee yalghaar
sar maiN bujj rahi hai oongh kee jhankaar
sunaa tum naY? jaa rahaa hooN maiN
style thaa uss ka jo kehlataa hai Dileep Kumaar