the much requested Bait Bazi - LXVI

Hello????

Amazing to see in this thread this time, that no other user is taking part except me and Lamhay !

:(

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Hello????

Amazing to see in this thread this time, that no other user is taking part except me and Lamhay !

:(
[/QUOTE]

arif ji ab kia karain sab sorahay hain na
;)
ap bhi sojaien ;)

Nahin ati tu yaad inko mahinoo tak nahin ati
magar jaab yaad atay hain tu aksar atay hain!

YE!! ;)

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
Nahin ati tu yaad inko mahinoo tak nahin ati
magar jaab yaad atay hain tu aksar atay hain!

YE!! ;)
[/QUOTE]

Lamhay... it must be Noon not Ye !

Hain... ended on "Noon"
Its not Hai... for which u said..."Ye"

Wat do ya say?

Nakaam ho ke jab tere kochay se aaye thay
Khushqismatee ko hum waheen pe chor aye thay
Jo mekaday mein bach gaya thaa, apna hi dil thaa
Tum jatay jatay woh bhi waheen tor aye thay

"Ye"

Ye weham nahiN tou kya hay, ye gumaaN nahiN tou kya hay
ye jo diL say Utth rahaa hay, ye dhuhwaaN nahiN tou kya hay

Ye*

Yaad aayenge tumhein guzray zamaanay phir se
Jab bhi hathoon ki lakeeroon ko koi daikhay ga !!!

"Alif"

Ab tu apni bhi tabiyaat juda lagti hai
saans leta hoon tu zakhmoon ko hawa lagti hai
kabhi mujh sey razi ,tu kabhi mujh sey khafa
ayee zindagi bata tu meri kiya lagti hai!

Ye!

Yaadain chaleeN khayaL chaLay ashk-e-tar chaLay
Lekar payaam-e-shauQ kai naa'mabar chalay
dil ko sanbhalatay rahay har haadsay pe hum
ab kya karaiN keh khud teray gesuu bikhaR chalay

Ye*

**
Ye kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaaney kaho
kabhi to us ke bahaaney bhi suna karo us sey

"ye"

ye shab-e-firaq ye bebasi haiN qadam qadam pe udaasiyaaN
meraa saath koi na day saka meri hasrataiN haiN dhuaaN dhuaaN

Noon*



na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa
mere dard kii aab-o-tab me.n mujhe dekhanaa
kisii vaqt shaam malaal me.n mujhe sochanaa
kabhii apane dil kii kitaab me.n mujhe dekhanaa

Next " Alif "

Abhii is taraf na Nigaah kar maiN Ghazal ki palkaiN sanwaaR luuN
meraa Lafz Lafz ho Aaina tujhay Aainay meiN utaaR luuN
kai ajnabii terii Raah kay meray paas say yuuN guzaR gaey
jinhaiN dekh kaR ye taRap hui teraa Naam Lay kay pukaaR luuN

Noon*


naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau
jab aa_uu.Ngaa to meraa naam bhii nayaa rakhanaa
hisaar-e-shauq uThaanaa 'Zafar' zaruur magar
kisii taraf se nikalane kaa raastaa rakhanaa

" Alif "

Abhi tak khushk hai mausam baarish ho tu sochenge
Hum ne apne armaanoo ko kis mitti mein bona hai

"Ye"

Yakeen rakhta nahi hoon main kisi kachay taluq per
Jo dhaaga tootnay walaa ho us ko torh deta hoon

Meray dekhay hueaysapnay kahin lahrain na ley jaein
Ghronday rait ke tameer kar ke chod deta hoon!

Noon!

na janaY koN kho gaya hai meRi miti maiN
zameeN kuraadti rehti haiN ungliaN meRi

"ye"

Yeh dil ka dard hai yaaro
Zuban per aa hi jaata hai
Woh mera kuch nahe lagta
Per aksar yaad aata hai

"Ye"

YE ufff !!

yaa rab! Ghum-e-hijraan mein itna to kiya hotaa
Joo haath jigar pe hai woh dast-e-duaa hotaa

aik ishq kaa Ghum aafat aur us pe ye dil aafat
Yaa Ghum na diyaa hotaa ya dil na diya hota

Alif!

Ab to Khawaish hay ka yeah Zakham bhi Kha kar Dakhen
Lamha Bhar ko he sahe us ko Bhula kar Dakhen

"Noon" ;)