Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye
terii raah men karate the sar talab sar-e-raah-guzar chale gaye

terii kaj-adaa_ii se haar ke shab-e-intazaar chalii ga_ii
mere zabt-e-haal se ruuTh kar mere Gam-gusaar chale gaye

na savaal-e-vasl na arz-e-Gam na hikaayaten na shikaayaten
tere ahad men dil-e-zaar ke sabhii iKhtiyaar chale gaye

ye hamiin the jin ke libaas par sr-e-raah siyaahii likhii ga_ii
yahii daaG the jo sajaa ke ham sar-e-bazm-e_yaar chale gaye

na rahaa junuun-e-ruKh-e-vafaa ye rasan ye daar karoge kyaa
jinhen jurm-e-ishq pe naaz thaa vo gunaahagaar chale gaye

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

V Nice :-)

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

:)

Boht khoob.. thanks for sharing nd welcome to Poetry section. =))

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

ye hamiin the jin ke libaas par sr-e-raah siyaahii likhii ga_ii
yahii daaG the jo sajaa ke ham sar-e-bazm-e_yaar chale gaye

wah ji wah! aa'la tareen

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

na savaal-e-vasl na arz-e-Gam na hikaayaten na shikaayaten
tere ahad men dil-e-zaar ke sabhii iKhtiyaar chale gaye

bOhAt hE UmDaa !!!khush rahiye !! keep sharing !**

**

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

thanks for the welcome hearthacker :)

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

nice :k:

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

Very nice

Re: Tere Gam ko jaan kii talaash thii tere jaan-nisaar chale gaye

na savaal-e-vasl na arz-e-Gam na hikaayaten na shikaayaten
tere ahad men dil-e-zaar ke sabhii iKhtiyaar chale gaye
Buhat zabardast sharing hai (NICE).