tariq and anwaar

Re: tariq and anwaar

Tak'yaa walaa jin hooN

Jinn pay takyaa thaa, wuhi pattay .... wala

Re: tariq and anwaar

maiN samjha masjid wala jinn ho .. jiss kaa elaan hotaa hai... jinn kaa bachaa... wohi

Re: tariq and anwaar

Shukar hai aap nay nuwishta'-e-deewaar walaa jinn nahiN samjha

Jinn see bemaaree kaa ilaaj Karwaayee'yay
Hakeem Anwaar say aaj hee milyay

Re: tariq and anwaar

aap kaa rozaa naheeN hai aaj?

dekho bhai.... mera rozaa hai... maiN aaj bahut sharaafat saY jawaab dooN gaa.... please, behoodgi saY parhaiz farmaaiye... aameen.

Re: tariq and anwaar

Sir main to Jinn ka zikr kar rahaa tha. App pata nahiN kiya samjhay. Behoodgee to aap kay dimagh maiN hai

Bunda' bhee rozay say hai

Summa Aameen

Re: tariq and anwaar

yaar jhooT bolnaY waalaY par laanat.... maiN naY beemaari ko behoodgi saY taa'beer kiyaa thaa.. aap pataa naheeN meraY dimagh maiN kiyaa dhoondh rahai haiN

achaa agar roza hai tau zaroori hai poori duniyaa maiN elaan kartaY phiro?

Re: tariq and anwaar

Aao ko kis nai keh diyaa kay aap meri poori duniyaa ho. Phir behkee behkee baataiN shruu. Kiyaa sugar level kum ho rahaa hai?

Re: tariq and anwaar

woh sher naheeN sunaa?

Poori duniyaa hammaiN pehchaanti haiN
koi humsaa bhee naa Tanhaa hogaa :aq:

Re: tariq and anwaar

:chai: yeh to bas reading thread hai

Re: tariq and anwaar

Libraray maiN rakh dijiye laY jaa kar :slight_smile:

Re: tariq and anwaar

Aap kaa rozaa nahiN hay jo chai’ pee jaa rahee hai

Re: tariq and anwaar

inn kaa aadhaY din kaa rozaa hai ... i think asar saY shuru hogaa.