taaweel-e-ba'eed

Re: taaweel-e-ba’eed

pahla misr’a kuchh yuN hai:
**
aa gayaa ai’n laRaaii meN AGAR waqt-e-namaaz**

aur pooraa band kuchh yuN hai:

aa gayaa ai’n laRaaii meN agar waqt-e-namaaz
**qibla-roo ho ke zamiiN_bos huii qaum-e-Hijaaz
ek hii saf meN khaRe ho gaye MeHmood o 'Ayaaz
na koii banda rahaa, na koii banda_navaaz

banda_o_saaHib O moHtaaj_o_Ghanii ek huye
terii sarkaar meN pahoNche to sabhii ek huye!**

subHaan Allah…kia umda dars-e-masaavaat hai…subHaan Allah! :slight_smile: