*sunaa thaa ki voh aayenge anjuman main *
*sunaa thaa ki un se mulaaqaat hogi *
*hamen kyaa pataa thaa hamen kyaa khabar thi *
na ye baat hogi na vo baat hogi
*main kahtaa hoon is dil ko dil main basaa lo *
*vo kahate hain ham se nigaahen milaa lo *
*nigaahon ko maaloom kyaa dill ki haalat *
nigaahon nigaahon main kyaa baat hogi
*hamen kheench kar ishq laayaa hai teraa *
tere dar pe ham ne lagaayaa hai deraa
*hamain hogaa jab tak na deedaar teraa *
yaheen subah hogi yahin raat hogi
*muhabbat kaa jab hamane chhedaa fasaanaa *
to gore se mukhde pe aayaa paseenaa
jo nikale the ghar se to kyaa jaanate the
ki yoon dhoop main aaj barsaat hogi