Suna hay, shikaar-e- khizaan ho kar bahaar ki rut mein
jo shajar sookh jatey hain wuh phir harey nahin hotey
Suna hay, wafa deemak ban kar jinhain chaat jati hay
wuh wafaoN key pai’kar kuch aesey bikhartey hain
key kirchiyon mein bhi phir unka pata nahin miltaa
Suna hay, kabhi ye rut aesey bhii badalti hay
key sarey mehrbaan lafz yekdam kaheen khoh jatey hain
aur kisi mehrbaan sii saa’ at ka koi sira nahin milta
Suna hay, jab wajood reza hota hay
tou toot phoot buhut be-awaz hoti hay
faqat aik khamoosh sa mausam
aik sunsaan sa rastaa
aik weeraan sii saa’at
aur aik gumnaam sa lamha
yun hamsafar hotey hain
goya sadiyon ki rafaqat ho
Suna hay,
aandhiion ki zad mein aa ker phool jo bikhar jaaiN
wuh phir simta nahin kartey
Kisi pur- ranj si saa’at ka jo nishana ban key khoh jaain
wuh phir palta nahin kartey
Aey charagar,
suna to mein ney ye sab kuch hay
magar merii duaaiN hain aik silsila
meri umeed hay mera hosla
Mujhey mojzon pey yaqeen hay!
Mujhey mojzon pey yaqeen hay!