Subz Madham Roshni Main Surkh Aanchal Key Dhanak
Sarad Kamray Main Machalti Garam Sansoon Key Mahak
Bazoun Kay Sakhat Halqay Main Koi Nazuk Badan
Salwatain Thi Balbous Par Aur Aanchal Bhi Kuch Dhalka Houa
Rukhsar Key Garmi Say Dhaki Hoi Ek Hawa
Nuram Zulfoon Say Malyam Shirarti Ungaleon Key Cheer Char
Surukh Hontoun Par Shirarat Kay Kissi Lamhay Ka Aakas
Raishmi Banhoon Main Chori Ki Ek Madham Si Khanak
Sharmegeen Lahjoun Main Dheeray Dheeray Say Kabhi Chahat Key Baat
Do Diloon Ki Dharkanoon Main Gounjati Thi Ek He Sada
Kanpatay Hoontoon Pah Thi Khuda Say Sirf Aik He Dua Kah
Kash Yeh Lamhay Yahan He Tahar Jain ……..
Kash Yeh Lamhay Yahan He Tahar Jain Zara ……..
**By Parveen Shakir **
Re: Subz Madham Roshni Main Surkh Aanchal Key Dhanak
**Amal G : **Aisi Naswaniat Say Bharpoor Koi Aur Nazam Aap nay parhi ho to please hamaray sath share Karain .......... Naswani Jazbatt Key jiss tarah aakasi key gai hay yah sirf Parveen G ka khasa Hay ..............
Bahar hall Main Koi Itna Zyada She'r kay baray main naheen janta hoon iss liye ho sakta hay meri naqus raye itni achi nah ho ..................