so when are we starting a thread

Re: so when are we starting a thread

you din make it izzlum yoh dude?

impressive reply. :k:

Aap ka matlab ye wala to naheeN.

Re: so when are we starting a thread

oooo ye me nay kis ki shakal dekh li :(

Re: so when are we starting a thread

^ isi liye itne ruswa hain :chai:

haalat-e-Saum maiN roza rakh kar .. theek?

Koh-e-Murree Kei Pahareyoon pey ,Burlabey Sarak Key Kinary Ap Kei MulaQat Ka Mutmanni-e-Muntazir Hoon, Aur Khuda Sey Ap kei Khaireeyat Naik Matloob Chahta Hoon

Adab

tum khud daab lo, hamaaray paas time nahi hay

Had-e-Adab

Yeh Bazari Zuban, aur yeh Martaba, Wallah Hum Marey sharm key Pani hoey Jatey hain

hum pehlaY hee la'b-e-dariya kaY kinaaray jaa kar pohuNchnaY kaa mashwarah inaayat farmaa kar deY chukaY thaY... kher aap kaa maqsad aur talab bhee issi khiyaal aur justuju say thee kay matloob kaY chaahaY jaanaY kee ghamaazi aur mutaaqaazi ho sakay...

iss liye chooN kaY chunaa chaY, aap kee baat maiN wazan mojood paayaa jaataa hai... lehaazaa wa-deegar ast aap kee baat kaY bataanay aur kahaY jaanay balkaY bayn-ul-jaal (internet) kay safha-e-qirtaas par likh kar raqam kiye jaanaY kaa az hud aur baY hud shukriyaa..!

Aadaab-O-Nawaazish bhai-O-Braader-e-deeni

hazrat, woh sharam nahi hay, you just need adult diapers

Sahib BeWazni TU Hum sey Bohlay say Bhee nahee hotee, Chahey JustajuEy Nasar Ho, Ya Roh-e-Sukhan Nazam Ho, wazan Main Ratii Baraber Kami Na ho Gii,
Azmaeish Shart Hey, Hum Kahey Detey Hain, Ap Likh Lei Geye.

Adab

Guftagoo Main Tawazan Nahi Raha Tlk
Fiqroon sey Sharat Hey Kion Chalkey

Goyaa hazrat nasar maiN bhee qaafiye milaanaY maiN malika rakhtay haiN.. Khoob... yaa'ni bahut khoob... kiyaa kalaam farmaayaa hai.... janaab-e-aali! nasar ho kuch manzoom see tau haashiya-e-kalaam kaY samajhnay kaa bhee apnaa hee maza aur lutf hai...

Aazmaaish kee bhee aik hee kahi hazzat! aap khud hee likh dijiye taakay sanad rahai aur ba waqt-e-zaroorat kaam aaye... haaN! bayt-ul-maal maiN battees rupaiiye aaThaa aanaY sikkaa raaij-ul-waqt zaroor jamaa kara dijiye gaa zamaanat kaY taur par...

Ain balkaY Ghain nawaazish hogee

Re: so when are we starting a thread

Chalo Bhai Phantoo Ab hotey Hain rawana
Raat Bohat Bheegh chukii Ab Ghar Ko hey Jana

Re: so when are we starting a thread

paisaY kaa naam aayaa tau khisak liye... wah bha'ee wah... yahaaN tau tukk bandi ghalat ho gayee, qaafiya phisal gayaa, radeef kaa hashar nashar ho gayaa, beH'r behr-e-baykaraaN kee tarah taweel aur wazan kaa kooNdaa ho gayaa ... molvi saab!

AP Kee Tehreer Ko Dekh ker Aik Sher Mozoon Keya Hey, AaRz Keya Hey

Mera Her Lafz Aik Sher Hay, Mera Her Sher Aik Nazam
Merii Guftagoo Mera Dewaan Hay, Mera Deewan merii Zindagii

Umeed Hey Mabadolat Ko Pasand AYa ho Ga

Adab

Kabhi aao naa ghareeb khaanaY pe... khoob guzray gee.. yaa apnaY daulat khaanaY par hee mad'oo kar lo jiger muraadaabadi kaheeN kaY!

Mohtaram Hum Khan Phisley, Hum Tu Wahan Na Phislay, Phisla Jahan Zamana
Mian, Hum Tuk Badi nahee Kertey , Thusey Key Maney Taney Shaer Hain.

Ap Kaho tu...
Hijv Likhoon Ya likhoon tera Sehra