Re: so what do I do
**shukria pazeeraaii ke liye.
are bhai shukria kii kia baat…GS hai hii siii maqsad ke liye k ham yahaN ek dusre se aistiHsaal e ilm kareN. mujhe jo pataa thaa pataa diyaa…aur kisii ko kuchh pataa ho to bataa de…aise hii ‘ilm o fikr kii kashtii ilm o fikr ke vasee’ samandar meN aage baRhtii rahtii hai.**
**thank you Ashi for ur kind appreciation. ![]()
ise urdu meN kaheNge: ibaarat kaa Khulaasa o tashreeH baa tauzeeH o tausee’
**
ji, aap ne bajaa farmaayaa…yaqeenan, urdu par Punjaabii bhaaiyoN aur bahnoN kaa bahot baRaa aHsaan hai aur unkii bahot baRii ishtiraakiyat hai
aur HinduoN kaa bhii zabardast sarmaaya hai urdu zabaan meN
ham Ghalatii se Urdu ko musalmaanoN kii zabaan samajh baiThe haiN ![]()