Sure Channmahi ji,
"Delhi mai ek baar muslim conference hoiee, mujhai bhi bulaya gaiya,sab nai aitaraaz kiya kai ye muslim nahi phir kion bulaya gaiya, mujhai bulaya gaiya aur mai gaiya
nazam lambi hai ,mai arz karta hou
*hum kisi deen(mazhab) sai hou kail-e-kirdaar to hai
hum sana-khan-e-shah-e-haider-e-karaar to hai
Naam laiwa hai Muhammad kai paristaar to hai
yaani majboor bar-e-Ahmade mukhtaar to hai
Ishq hojai kisi sai koi chara to nahi
sirf muslim ka Muhammad sai idara to nahi
Mairi nazrou mai to Islam Muhabbat ka hai naam,
amn ka ashqi ka mehro-muravvat ka hai naam,
ufat-e kalb ka,ikhlaas-o-akhuwat ka hai naam,
takhta-e-daar pai bhi haq-o-sadakat ka hai naam,
maira Islam likho naam mai badnaam nahi
baat itni hai kai AAM YE ISLAM NAHI.*
agai chalta ho Hazrat-e-Ali karam halawajo ki shaan mai,mai hazrat ali ka motikir ho, humarai punjab mai aaj bhi jab gair-muslim kushti kai akhaarai mai utartai hai to YA-ALI MADAT
ka naara lagaatai hai, ye tareekhi waqaiya hai
arz karta hou
aap sai musalmaano sai khaas toor par mukhatib hokar arz karta hou
tu to har deen kai har door kai insaan ka hai
kam kabhi bhi teri toqeer na hoonai daingai
hum salamat hai zamaanai mai to INSH-ALLAH tujhko is qoum ki jageer na hoonai daingai
IMAAM shohda kai barai mai chaar misrai sun leejeeyai
*Zinda Islam ko kiya tuunai,
Haq-o-Batil dekha deeya tuunai,
jee kai marna to sabko ata tha,
mar kai jeena seekha deeya tuunai
Lab pai Shah-e-Shaheedan tera naam ata hai
Saamnai saqeeyai koosar leeyai jaam ata hai
Mujhko bhi apni gulaami ka sharaf dai deejo
khota sika bhi to kabhi kaam ata hai
============================================
I tried my best to write word by word but it will be better if you listen to it, anyways
hoon jai tusi urdi wi samajhdai oo then u will understand these ishaars.
Masooma