Maro Maro Sunni Agayay, Pakrro Pakrro Shi’a Aggaya. Phadda karo Q K hum Shi’a hian, Mar peet karo Q K hum Sunni hain.
Sakoon se mat betho Q K hum Musalman nahi hain.
Sharam aai? Nahi aai?
Mujhay bhi nahi aai!!!
Q K hum joker hain, hum jahil hain, unn cheezon per larrtay ahin jo 1400 saal pehlay khatam ho gai hain. Na Khalifa rahey na Khilfat to ab kya Shi’a Sunni phadday ka achar dalo gay. Larro larro sab larro main yahan beth ker puri dunya ke saath hansta hoon woh bhi aisay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
Rota iss liyay nahi hoon Q K bohat ro chuka hoon tum logon ki lashaen dekh ker. Tumharay janazay utha ker, tumhara khoon mera kaprron per bhi laga tha eak dafa.
Yad hai 1991 ka Shi’a Sunni fasad Karachi or Jhang wala, mainay pooray 15 janazay utthay thay. Sab mer ker eak jaisay lagtay ho, kissi maa ne yeh nahi kaha tha meray betay ko sunniyon ne mar diya ya shi’a ne maar diya. kaha to sirf Molvi ne kaha ya phir Allam ne kaha.
Sunno sunno bhai unn ki sunno!! Main to pagal hoon meri kon sunta hai? Haan magar eak baat bata doon uss din jab meray hathon per Shi’a or sunni dono ka khoon tha na! tab main apni poori koshish ke bawajood yeh nahi bata saka tha ke Shi’a ka khoon kon sa hai or Sunni ka kon sa! Pat anhai Q!
Tumhain pata hai to zara batana. Main to chala Hansnay woh bhi aisay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
–I know I’ll be a King One day, When Im Dead, They Gonna take me on their shoulders, Just like a King–
[This message has been edited by freestylla (edited May 22, 2001).]