Shayrana guftugu - July 2013

Re: Shayrana guftugu - July 2013

Aam bas aik dedh kilo hi aaj khaey hain
ooper say lasi kay do glass kharkaey hain

Re: Shayrana guftugu - July 2013

konse aam aap suggest karo ge ke khao
kia chal raha hai aajkal market main baho

Re: Shayrana guftugu - July 2013

humarey yahan tu ati hai pori peyti
hum kya janey amm ke bahoooo :p

Re: Shayrana guftugu - July 2013

peti kiya nazranay main aye hai
gar aisa hai tu aik nazar idhar bhi ho

Re: Shayrana guftugu - July 2013

bade logon ki bdi badi baaten
garam hai aajkal Karachi ki raaten

Re: Shayrana guftugu - July 2013

muft main to aajkal koi kisi ko deta nahin bukhaar
peti ke baat chore, khalen aam bus do chaar

Kholem aap khirkian darwazy
Phir pta chaly kaisi hain raaten

Re: Shayrana guftugu - July 2013

Aam achey to bohat say hain laikin
dusehri aur anwer ratol ka jawab nahin
bas ab aaney wali hai chunsa ki bari
apni tu hai poori tyari

poccha tha aap nay aam ka bhao
80 say 150 rupay kilo tak hain zara bazar main tehal kar aaoo

Re: Shayrana guftugu - July 2013

60 ke mil rahe the SindhRi, 60 main hi main anwer rattol tha laya
150 wali konsi variety thi, kis ne kisko choona lagaya?

Re: Shayrana guftugu - July 2013

Aam aam hai, sindhri ho ya ratol
khana hee toh hai 50 ya 150 ka loh

Bilkul aam k bhao jo bhe hun
Kamazkam 50 to kr he lo :D

Re: Shayrana guftugu - July 2013

UK main kia hote hain aam, kiya hota hai unka haal
barish padte hai saare darakht ho jate hain behaal

Re: Shayrana guftugu - July 2013

ye 50-60 rupe kilo bus 2-4 din ki kahani hai
ramadan main rate sun ke aankh main aajana pani hai :teary2:

Or phal bhe hun gy behisab
Wo kha lijye ga janab

Re: Shayrana guftugu - July 2013

sab phalon ke rate choo lenge aasmaan
hum jaison ki khair hai, ghareeb kaise kaate ga ramadan

Re: Shayrana guftugu - July 2013

Aam aatey hain Pakistan say bauhat ziyadah
barish mein beth ker kahany say aata hai maza ziyadah.

Re: Shayrana guftugu - July 2013

iss saal ek peti Altaf Bhai ko bhi bhijwaiye
dukhi insaniyat ki khidamt karke sawab kamaiye

Re: Shayrana guftugu - July 2013

peti say dil bharta bhai ka tau bhijwa daitay
bori may dil atka hay un ka nahen tau samjha daity

Re: Shayrana guftugu - July 2013

ek bori main 2-3 petiyan hi to aati hain
mazloomon ke sathi ki dua aasman tak jati hai

Re: Shayrana guftugu - July 2013

bhai jaisy greebon saay dosti kar loo
guur sikha dain gai bhata khori o hartal ka