Ye zara zara sii baat par tarhaN tarhaN kay azaab kyuN
jo kisi say bhi khafa na ho mujhay us Khuda ki talaash hay
mujhay dekh kar jo ik nazar meray saray dard samajh sakay
jo is qadar ho chaara-gar mujhay us nigaah ki talaash hay
Yehh meri kitaab-e-hayaat hai, issay dill ki ankh sey perhh zaraa
tere baGair ye ab zindagii kahan guzaray
qadam qadam pe tere saath kaa gumaan guzaray
ye din jo dhiire se phisalaa to shaam ke manzar
tere baGair udaasii ke daramiyaan guzaray
Saath laati hi ik ik manzar
yaad kuch bhool kar nahi aati
ma fav 1
ON THE CENTURY OF REPLIES I LIKE TO QUOTE THESE GREAT SHAIRS POSTED BY ALL GREAT LIONS OF SHORA E INTEKHAAB.ITNAY ACHAY ASHAAR MAIN SAMAJH NAHI AA RAHA K KIS KO KIS KO QUOTE KARON BUT ALL POSTED ASHAAR WERE GREAT LIKE THE QUOTED ONES THX.
Woh ishq tha yah qayamat hawa kay lehjay mein **
**Yah koi bol raha tha kudha kay lehjay mein Ajab damak thi paharoo(n) ki sarsarahat mein Ajeeb rohub tha bad-e-saba kay lehjay main
Kisse kabar hai meri rooh kay darechoo(n) mein ghum-e-hayat kay kitne chirag jalte hain meray sahoor ka dukh kon jan sakta hai kay mere zehan main kitne khiyal paltey hain
Tum chahte ho mai apne laboN ko see looN
tumhari yaad ko apne dil se bhula bhi dooN
mumkin hai mai aisa ker bhi ja'ooN
mager haath mai likhi lakeer tumhare naam ki kaisay mita'ooN
Tum chahte ho mai apne laboN ko see looN
tumhari yaad ko apne dil se bhula bhi dooN
mumkin hai mai aisa ker bhi ja'ooN
mager haath mai likhi lakeer tumhare naam ki kaisay mita'ooN
reet bohat khoob bohat din baad achi cheez nazar se guzri thx alot:)
Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna
kuch log safar k lye mozon nahi hotay
kuch rastay kat'tay nahi tanha, usay kehna
zarkhaiz zamenain kabhe banjar nahi hotin
darya he badal laitya hain rasta, usay kehna
Aja k abhi Zabat ka mosam nahi guzra
Aja k paharooN pay abhi baraf jami hay
Khushboo k jazeerooN say sitaraooN ki hadooN tak
Sub kuch hay meray shehr main Ik teri kami hay
janay kis sehar ke alam meN bana us ka wajood
chain lenay nahiN daitee mohabbat us ki
koi aam ho koi behter ho koi manzir
meri aaNkhoN meN basi rehtee hai soorat us ki
uss ko chaha magar izhaar na karna aya
kat gayi umer hamain pyar na karna aya
usss nay manga bhi to bass mangi judayi
aur ek hum k hamain inkaar na karna aya