Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
^^ Payamy Aisho Musarat hamin sunata hy
** Hilalay Eid hamari Hansi urata hy**

[QUOTE]
[/QUOTE]
**Aaye Khuda kar too unhain bhi Eid ki khushiyan naseeb
Jin kay dam say ham bhi hain aour hay hamaari Eid bhi
***Iss baras koi hassen khwab na tha Ankhon main
Iss baras ham say bhi daikha na gaya Eid ka chand *
nice ashaars....sannan gee!
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Meri taraf se kuch ashaar....
Eid ka chand falak per nazer aaya jis dam
Meri palkon pe sitarey thay teri yaadon ke
Eid ka apna har ek lamha tere naam
Ju saans Khuda dey woh saans tere naam
Kya lutaf hai Eid ka ager tum mujh se dour ho
Guzrey ga roz e eid tasawwar mein tumharey
Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
WAH MK Khub :k:
Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Eid ka chand falak per nazer aaya jis dam
Meri palkon pe sitarey thay teri yaadon ke
wah wah buhat he khubsurat …
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
*Kuch Mazeed Ashaar ........................ *
Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay
Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay
Yeh Eid kiya hay keh duniya ki her musarat ko
Tumhari yad par qurban ker diya main nay
Un kay abroo-e-khameeda ka tarah teekha hay
Apni aankhon main barhi daer chubha Eid ka chand
Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
**
wah wah kia kahnay **
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
wah maham ,sannan and goodnews really great ashars
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
*wah wah kia kahnay *
Shukriya both of U:)
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
kuch aur ashaars aap ki nazar
muntazir hai jis nazar k leye khud jamal-e-eid
woh kush naseeb aur kahin hain hilal-e-eid
jaisey k first main sannan jee ney kaha k hum ko eid pey apney gharib
humwatnoon ko nahin bhoolna chayee
eid k chand ghariboon ko pereyshan na kar
tujh ko maloom nahin zeest-e-giran hai kitni
aaj phir charkh-e-sitmger ki siah chadar per
eid ka chand ghareboon ko rulaney nikla
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
mr sannan ak bat btain ga
Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
wah wah tahreem zabardust … mazeed ahsa’r …
Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak
Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak ![]()
Khat main likha tha Eid kab hogi
Ham ko tareekh likh kay bhijwayein
Choonkeh jhagrha tha iss liye ham nay
Likh diya Aap jabb bhi aa jayein ![]()
Aaj kay din saaf ho jata hay dill aghiyar ka
Aao mill lo Eid, yeh maoqa nahein takraar ka ![]()
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Thanx GN,Sannan & Tehreem
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
[QUOTE]
Phir aa gayi hay Eid magar dill udas hay
Khushiyon ki hay naveed magar dill udas hay
[/QUOTE]
**
[QUOTE]
eid k chand ghariboon ko pereyshan na kar
tujh ko maloom nahin zeest-e-giran hai kitni
aaj phir charkh-e-sitmger ki siah chadar per
eid ka chand ghareboon ko rulaney nikla<!-- / message -->
[/QUOTE]
**
[QUOTE]
Ghairon main hay jo shad usay Eid mubarak
Ham jis ko nahein yaad usay Eid mubarak
[/QUOTE]
Very nice ashaars....Sannan & Tehreem
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
kuch aur ashaar meri taraf se.....
Labon pe rang e tabasuum na dil mein moj e saroor
Mere watan ke garibon ki Eid kya ho gii
Teri basat se bhar ker teri umeed se zayada
Bhar dey khushiyon se daman iis Eid per Mola tera
Nazer ka chain dil ka saroor hotey hain
Kuch aaisey log jahan mein zaroor hotey hain
Sada chamakta rahey iin ki Eid ka tehwar
Qareeb re ke bi ju hum se dour hotey hain
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Teri basat se bhar ker teri umeed se zayada
Bhar dey khushiyon se daman iis Eid per Mola tera
wah wah maham g maza aa gia ...buhat khubsurat ashaa'r ka intikhab kia aap nay
kuch dukhi loog bhi hotay hain Eid par ...unn key nazar yah ashaa'r ....
Khoob roya main lipat kar gham-e-tanhai say
Koi bhi aa kay galay say na laga Eid kay din
Meray aangan main dabay paaon naye rog liye
sall kay sall koi Eid chali aati hay
Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand
Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Eid Ai hy sisakti hoi Yadin ly kr
Aj phir apni udasi py tras aya hy mujhy
Aik shyr is qisam ka bhi tu hy bhla kia hy mujh sy bywazan sa ho rha hy
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
How about this:D
Eid woh Eid nahi jis main teri Deed nahi;)
Deed woh deed nahi jis main tu qareeb nahi
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay
Mehboob ki zulfain bhi lagti hain sawayan
How About This One !!!!!
Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
[QUOTE]
[/QUOTE]
[QUOTE]
Meray aangan main dabay paaon naye rog liye
sall kay sall koi Eid chali aati hay
Kab tery milnay ki taqreeb bana Eid ka chand
Teri yaad aayi to dekha na gaya Eid ka chand
[/QUOTE]
Zabardast ashaar<!-- / message -->