~*~Share Ashaa'r Abt Eid ~*~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

As Eid is just around the corner and now every one will start sending Eid wishes to their loved ones …. So please share best asha’r abt Eid and send warm wishes to your friends and family members and MOST IMPORTANT THING THAT DON’T FORGET POOR’S ON THIS SPECIAL DAY either they are yours relatives, friends or neighbors …… Let’s make promise that at least you’ll give one poor family a dress or equallent amount and I belive that you’ll get the real happiness ……

Eib Mubarak from my Side to All Members of GS …

Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Char So Noor Barsao Pyam-E-Eid Hay
Ghamzada Jo Bhi Nazar Aaye Karo Ghum Uss Ka Door
Munda’mil Kar Do Har Ek Ghao Pyam-E-Eid Hay

Image Hosted by ImageShack.us

Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

MashaAllah bary achy khiyalat ka izhar kia hy or Buhat hi khubsurat Image hy Tumhin Bhi Eid Mabarik. Zabardast Sannan.:rose:

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

wow nice 1!!!!!1

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

*Thanks GN & happy Dani ..... lagta hay loog Eid kay baray main Asha'r bhol chukay hain .... .. *

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Bilkul Abhi tu dimagh kam nahi kr rha.

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Li giye yah she'r mujh jaisay logoon kay naam jo gharoon say door hain ...... umeed hay aap logon ko bhi pasanad aiy ga .....

Udaasiyon ki shaam aur yaadon ka saman
Apni palkon pe sitare hargizz na laayein ge
Rakhna sanbhaal ke tum chand khushiyan mere liye
Main laut kar aaun ga, phir Eid manayein ge

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

wah sannan paji ki gal kiti ankhan ich hanjo a gae.laut kr aon ga tu eid aise manai ge:D
EID ka din he gale aj lga kr milie:D
rasme dunia bhi he maoqa bhi he dastoor bhi he

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

dekho
ramaza'n-mubarak kee berketein dekho
eid keye chand kee chemuk dekho
betchoon keye cheroon perr damek dekho
pakwaan kee mehek ho gi,
naee yadein benein gee iss sal
jeb eid ayeye gi,
shukr ada kerney kee aisee wejhey hey
eid kee pur noor sham dekho
jeb aziz aur akarib ikhathey hoon geye,
gharoon mey, bastiyoon mey herr su ronek ho gi,
teb, eid kee massoom khushiyan dekho

Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Wah Buhat khub Dushwari:lajawab:

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

**wah wah ilu and dushwari ..... ek sur she'r araz hay ...

Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa
jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain **

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

wah sannan jee really ur ashars r best merey pass bhi kuch sher hain eid ki munasbat sey lekin abhi iftrai kar key aai hoon zehan kaam nahin kar raha bad main inshallah post karongi

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay
Char So Noor Barsao Pyam-E-Eid Hay
Ghamzada Jo Bhi Nazar Aaye Karo Ghum Uss Ka Door
Munda’mil Kar Do Har Ek Ghao Pyam-E-Eid Hay

**Iss Eid par bhi mil na sakay ham to kaya hooa
jazbon main jo khaloos to Eidain hazar hain
[QUOTE]

[/QUOTE]
**



Very nice ashaars....Sannan jee

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

dekho
ramaza'n-mubarak kee berketein dekho
eid keye chand kee chemuk dekho
betchoon keye cheroon perr damek dekho
pakwaan kee mehek ho gi,
naee yadein benein gee iss sal
jeb eid ayeye gi,
shukr ada kerney kee aisee wejhey hey
eid kee pur noor sham dekho
jeb aziz aur akarib ikhathey hoon geye,
gharoon mey, bastiyoon mey herr su ronek ho gi,
teb, eid kee massoom khushiyan dekho
[QUOTE]

[/QUOTE]

very nice...dushwari...!
<!-- / message -->

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Aao Mil Ker Dua Maangein Hum Eid Ke Din
Baki Na Rahey Koi Bhi Ghum Eid Ke Din
Har Aangan Mein Khushiyon Bhara Suraj Uutrey
Aur Mehakta Rahey Phoolon Se Chamen Eid Ke Din

Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Very nice :k:

Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Ameen sum Ameen. Wah bvuhat khub maza agiya duiya ashar ka Maham khan thanks for sharing.:rose:

Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Urdu or khas tor pr Eid ya ramzan ky hawaly sy shairi pr tu English main nahi urdu main ya Arbi main irsal krty kuch:barbie:

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

**Tahreem : **Lagta Hay aap iftar kar kay khanay main lag chuki hain aur aab sehri kar kay so chuki hain ......... we are waiting for your ashaa'r s

Prince : Thx for the Unghota
**MahamKhan : **Buhat Shukaria hamaisha key tarah khubsurat contribution ka ......

Re: ~~Share Ashaa’r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Wah wah maza aa gia bhai kia burjusta she’r hay … ek filbade’ she’r yaad aa gia …

**Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba’ad sahi
Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba’ad **

Re: ~~Share Ashaa'r Abt Eid ~~ Abr-E-Rahmat Bun Kar Chha Jao Pyam-E-Eid Hay

Kuch Aur Ashaar yaad aagai ........... araz karta houn ....

Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray
Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray
Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay
Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray