Sharab aur aankhen

wah wahhhh...isi baat par ek aur jaam.....

ik sirf ham hii may ko aa.Nkho.n se pilaate hai.n
kahane ko to duniyaa me.n maiKhaane hazaaro.n hai.n

^^ in aankhon ki masti ke

mastanay hazaron hain.....

^^
yup :)

hahaha!

here is one for u malik..

sab ko maloom hai mein sharabi nahien
phir bhi koi pilayay to mein kya karoo
sirf eik baar nazro say nazrain milay
aur qasam toot jayay to mein kya karoo

punkajh udhas :D

[QUOTE]
*Originally posted by suroor_ca02: *
hahaha!

here is one for u malik..

sab ko maloom hai mein sharabi nahien
phir bhi koi pilayay to mein kya karoo
sirf eik baar nazro say nazrain milay
aur qasam toot jayay to mein kya karoo

punkajh udhas :D
[/QUOTE]

wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

mal1k picks up a bottle in one hand, tries to get get up staggering

wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

mal1k tries to get up again, staggering

wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

jhoom barabar jhoom sharaabi

la pilade sara maikhana saqi

*thukrao ya ab ke pyaar karo main nashe mein hoon
jo chaaho mere yaar karo main nashe mein hoon

girne do tum mujhe, mera saagar sambhaal lo
itna to mere yaar karo main nashe mein hoon

*phir bekhudi mein hadd se guzarne laga hoon main
itnaa na mujhse pyaar karo main nashe mein hoon *

*

Inn Mast nigahooN se, Itni Na pila dena
tum aik MuslmaaN ko Kafir Na bana dena

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *
*thukrao ya ab ke pyaar karo main nashe mein hoon
jo chaaho mere yaar karo main nashe mein hoon

girne do tum mujhe, mera saagar sambhaal lo
itna to mere yaar karo main nashe mein hoon

*phir bekhudi mein hadd se guzarne laga hoon main
itnaa na mujhse pyaar karo main nashe mein hoon *

*
[/QUOTE]

Mujh ko Qadam Qadam pe bhaTaknay do waizooo
Tum apna Karobaar karo ... maiN nashay miaN hooN :)

I thought this shair fits perfect in here :smiley:

Tootay hoye glass mein jaam nahi aata,
Ishq kay marron ko araam nahi ata,
Ay dil torr kay janay walay,
Itna to socha hota kay toota hoa dil kissi kay kaam nahi ata.

:bummer: :bummer: :bummer: :bummer:

BTW nice collection Mal1k :k:

This one was posted by confused long time ago :D So I emailed it to my self... nerd Bahoot zabardast shair hai.

Here we go...

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

yoon to peeta nahin pee leta hoon gaahay gaahay,
wo bhee thori si maza moonh ka badalnay ke liyay,
meray peenay ki shhikaayat na ho shikwa koee,
apna ghamm hay jisay main pi kay bhula leta hoon.....

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

abb meri shaam hay aur shughal-e-sharaab 'o saaghar,
abb meri raat hay aur gosha-e-mekhana hay,
peetay peetay hi soorat kuch aur karni hay,
aur jeetay jeetay isee andaaz say marr jana hay..

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

sham dhaltay hi teri yaad jab aa jaati hay,
main teray naam pe ek jaam utha leta hoon..
main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon............................

kaun hai jis nay main nahin chakki
kaun hai jo jhooti kasam utha ta hai
maikhanay se jo bach nikalta hai
woh teri aankhon main doob jaata hai...

^^ Mehdi Hassan

I posted this thread, with love, it picked momentum but only later...Only one of da post is mine, da rest are all from famous singers or writers...mehdi hassan,umrao jaan, pankaj, jagjit...etc...!

Eyes & alchohol have always had that special connection, science might give us a thesis on the connection eyez have with da heart, but urdu takes it 2 a different level al2getha...

Thank u all 4 posting & complimenting, continue posting ur aankhen aur sharaab ghazals/poems here...!

This is my 2nd favorite thread...

[QUOTE]
*Originally posted by mal1k: *

This is my 2nd favorite thread...
[/QUOTE]

Wat will make it your First Fav hummm ? :D

Nahsa tou Khooon ki Hiddat ka naam hay saqi
Nasha Sharb miaN hota tou naachti botal ...

:)

[QUOTE]
*Originally posted by Golden Scorpion: *

Wat will make it your First Fav hummm ? :D

[/QUOTE]

My signature...

:eek:

Tnx GOD… U were okie in that :slight_smile:

Ja KO Raakhay SaiaaN
Maar sakay na KOi

:wave:

Wah :k:

Saaqi se mohabbat hoti hai
har roz shikaayat hoti hai
peene ko mere peena na kaho
yun bhi tau ibadat hoti hai

[QUOTE]
Originally posted by Sherni: *
This one was posted by **confused
* long time ago :D So I emailed it to my self... nerd Bahoot zabardast shair hai.

Here we go...

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

yoon to peeta nahin pee leta hoon gaahay gaahay,
wo bhee thori si maza moonh ka badalnay ke liyay,
meray peenay ki shhikaayat na ho shikwa koee,
apna ghamm hay jisay main pi kay bhula leta hoon.....

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

abb meri shaam hay aur shughal-e-sharaab 'o saaghar,
abb meri raat hay aur gosha-e-mekhana hay,
peetay peetay hi soorat kuch aur karni hay,
aur jeetay jeetay isee andaaz say marr jana hay..

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

sham dhaltay hi teri yaad jab aa jaati hay,
main teray naam pe ek jaam utha leta hoon..
main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon............................
[/QUOTE]

faizy, ur such an avid ice lover, I just love it...!

:k: