Sharab cheez hi aisi hai
Na chori jaye
Ye meray yaar ki jaisi hai
Na chori jaye
Another beautiful stanza with both da subjects
Teri nigaah say aisi sharaab pee mainay
Kay phir na hosh ka daawa kiya mainay
Woh aur hongay jinhay maut agaye hogi
Nigah yaar say paye hai zindagi mainay
In mast nighaon say kya pila diya
Ab tau na din ka hosh na raat ka pata
In nigahon say mujhe sula de
Meri nigahon main dekh kitna pyaar hai
Ab hum teri nigahon kay bin na rah sakein kya pata
Teri nigaah say aisi sharaab pee mainay
Kay phir na hosh ka daawa kiya mainay
Woh aur hongay jinhay maut agaye hogi
Nigah yaar say paye hai zindagi mainay
aa.Nkh ko jaam samajh baiThaa thaa anjaane me.n
saaqiyaa hosh kahaa.N thaa tere diivaane me.n
jaane kis baat kii un ko hai shikaayat mujh se
naam tak jin kaa nahii.n hai mere afasaane me.n