Re: - Shaam-e-Mohabbat dhal gaYee yooN Tanhaai maiN -
Wah,,,bohat khubsurat ghazal hai..
thanks :)
Re: - Shaam-e-Mohabbat dhal gaYee yooN Tanhaai maiN -
Wah,,,bohat khubsurat ghazal hai..
thanks :)
Re: - Shaam-e-Mohabbat dhal gaYee yooN Tanhaai maiN -
Hello and salam to all the readers... I am sharing my latest poem after my last entry here in MAY... I have not shared a lot of my poems here in last couple of years and there have been only few times that I posted anything... Consider this one of those as well :)
Shaam-e-Mohabbat dhal gaYee yooN Tanhaai maiN ** **JaisaY Doob gayaa Sooraj samander kee gehraai maiN
naa jaanaY, tum saY naataa jub saY chooTaa hai Sadaa dil TooTnaY kee aati hai Shehnaai maiN
jub kabhi khiyaaL kee waadi saY guzartaa hooN DikhtaY haiN chehraY Ajnabi, Rung-e-shanaasaai maiN
sochtaa hooN, dil kee baat zubaaN par laY hee aaouN mazaa kuch tau rakhaa hogaa Qudrat naY ruswaai maiN
woh naa samjhaa kuch bhee meri baatoN kaa mafhoom maiN naY joRaY thaY haroof raat kee siyaahi maiN
huaY abb aur kissi dil kaY woh aseer Anwaar ajab asraar chupaY haiN aye Khudaa teri Sanna'ii maiN
Anwaar** Q*ureshi **July 10, 2007*
Wah, wah
khoob zabardast likha hai
lakin ek swaal hai
aap nay shairi bhooray rang main likhi hai
aur apna naam Anwaar laal rung main kyon likha hai?
meharbani kar k bataain rung badalnay ka yahaan kyaa matlab hai.